Thursday, May 7, 2015

FILMI POSTORON KA RAHASAY


DISCLAIMER: its a long story, please take your time to read it.

“bhabhi o bhabhi” “kya hua zara dheere baat karo aapke dost upar wali birth par so rahein hain” “abhi shaam ke pone paanch baje…” “are bangaliyon ko aur kaam kya hai, ravivaar ki dophar ko acha mutton curry aur chawal khana phir bister par pair pachaad kar so jana“ “No my dear, bhabhi kuch bangaali aise bhi hai Jo aise bhojan ke baad ek meetha ya sadha pan khane ka shauk rakhte hain, jaise ki main” kehte hue unhone teen meethe paan apni jeb se nikaale. Debdyuti aur uski patni saath mein Aabir, teeno chutthi manane Dilli aaye hue the, aur ab wapas kalkatta jaa rahein the. Tabhi upar waali birth se Debdyuti ne apna haath bada diya “paan toh kha hi sakta hun” Debdyuti ki patni ne kaha “acha bachoo jab maine kaha chalo station se amrood khareed ke khaate hain toh mahashaye chup chap upar waali birth par jaa kar so gaye” “are bhabhi amrood main khilaoonga par yahan Dilli mein nahi jab train Allahabad pahaunchgi na tab, wahan ke amrood sabse ache hote hain” “beta train Allahabad raat ko pone barah baje pahunchegi, us samy kya aapke tauji wahan amrood lekar khade honge ?” Debdyuti ne kaha ke tabhi kalkatte ke naami film abhineta Prasenmeet Mukherjee coup ke andar aate hain. “hello.. acha yeh lower birth mera hai.” Debdyuti ki patni ka muh inhe dhekhte hi khula ka khula raha gaya. Aabir ne muskurate hue namaskaar kiya aur uske kuch kehne se pehle hi upaar wali birth se Debdyuti ne lete hue kaha “Congratulations to you for winning the National Award in the regional language cateogory.” “thankyou” Aabir aur Debdyuti ki patni Suhasini dono achambe main upar dhekhte hain, par tabtak Debdyuti aankhein band kar ke so gaye the. “woh actually mera dost aisa hi hai, par bahaut bahut bhadhayiyan aapko award ke liye,”  “woh toh inhe milna hi tha itne bade artist jo thahre,” Suhasini ne kaha. Issi beech Prasenmeet ne apni jeb se ek saridon ki goli nikali aur paani ke saath nigal ke bolein “if you don’t mind mera sar thoda bhari hai, itna hetic schedule tha yeh do din dilli mein ki uff…” “nahi nahi aap so jayiye” Aabir ne kaha.

Howrah Station
Prasenmeet Mukherjee ko dhekhne ke liye station par pehle se bheed jami thi. Train ke station par aate hi police ke kuch log inke coach ki taraf bhagne lagte hai, aur train ke rukte hi Prasenmeet Mukherjee police ki security ke beech mein rahakar station se bahar nikal jaate hain. Thodi hi der mein yeh teeno bhi train se utarte  hain ki tabhi “ Chatterjee saahab“ kehte hue daroga ko haath dhikha kar Debdyuti ne awaaz lagayi, wo daroga bhi Debdyuti ko haath dhikhate hue muskurakar unki taraf aaye. “aap aaj idhar station par, Prasenmeet ke liye aayein hain?” “haan unki security ka zimma humare sar par jo hai, waise aap idhar ?” “woh dilli gaye the ghumne toh…” “oh acha, …toh main chalta hun baad mein baat karunga” kehte hue Chatterjee apni police ki topi sambhalte hue Prasenmeet ke peeche peeche chale gaye.

Agle din
Aabir balcony mein bhaithkar chai ki chuskiyon ke saath akhbaar pad rahe the, ki tabhi darwaze par dastak hoti hai, darwaza kholte hi ek bada sa lal gulabon ka guldasta do pairon par khada hua tha, isse pehle ke Aabir kuch bole, guldaste ke peeche se gardan nikaal kar theek chaar foot ka aadmi kehta hai “Suhasini madam ne yeh guldasta mangwaya hai”. Tabhi Debdyuti ki biwi bhagte hue darwaaze par aati hai aur paise dekar guldasta le leti hai, yeh dhekh Aabir ne poocha “guldasta kis liye…. Oh acha aaj anniversary hai?” “haan Debdyuti ke liye surprise hai“ “hmm kaafi romantic ho gayi ho bhabhi ?” “isilye kehti hun aap bhi shaadi karlo, to phir aapki biwi bhi anniversary mein phool degi chup chupake” Aabir haste hue kehte hain “I am not a fool bhabhi apni azaadi ke raaste mein kaatein kyun bichaoon” Issi beech Suhasini ko paanch che cheekhein ek saath aa jati hain. Abir ke puchne par “kya hua bhabhi?“ “are woh woh…..” tabhi Debdyuti kamrein mein aate hain aur kahte hain “gulab ke phool kisne mangwayein hain?” “kyon aisa kyu bol raha hai?” “Suhasini ko gulab ke phoolon se alergy hai” tabhi Suhasini ne sar par haath rakh kar kaha “are inn cheekhon ne poore surprise ka mazaa hi kirkira kar diya….”
Darwaze par ghanti phir bajti hai. Publishing house se ek aadmi do kitabon ka sample Aabir ke haath me rakh ke kehta hai “saahab yeh nayi kitab ka sample hai, agar aap ko thik lage toh main chapwane ka pura order de dunga” Aabir aur Debdyuti ne paanch saal pehle ek book publishing kampani kholi thi, haala ki Debdyuti toh case ke silsilein mein karobaar mein jyada dhyan nahi de pate the sara daromdaar Aabir ke upar hi tha. Yeh aadmi wahin se aaya tha “thik hai tum rakh jao, shaam ko aakar bataunga.” Aabir akhbaar ko table par rakhne ke baad leefafe se kitab nikalta hai “ ‘NATYASHASTRA ek doobta hua suraj’ “ Debdyuti Aabir se kitab lete hue padte hai. “ Ranjan Das… yeh toh bahaut bade natak lekhak the, yeh sample kitaab mujhe dena, fursat mein padunga kaafi interesting hai…”kehkar Debdyuti ne kitaab Aabir ko thamai aur table se akhbaar uthate hue pehle panne par chapi khabar ko pada.

FILMY HASTIYON KA SERIAL KILLER
Kolkatta: Jaane maane film abhineta Arun Kumar aur Shamit Sahay ke khoon ke piche police ek serial killer ka haath bata rahi hai. Humare samvaddata ki pehli report se lekar iss report ke beech abhi tak police khooni ke baarein mein itna hi pata laga payi hai, pure kalkatta film industry mein ek khauff sa chaya hua hai, herani ki baat yeh hai ki serial killer bhi hindi filmon se prabhavit hai, aur khoon karne ke baad lash ko hindi film ke poster se lappet deta hai. Pooja Bhatt, Ajay Devgan wali 1998 ki film ‘Zakhm’ ka poster Arun kumar ki lash par lapeta hua tha, aur do din baad film abhineta Shamit Sahay ki lash par Nasserudin Shah, Om Puri  aur Smita Patil ke 1980 wali film Aakrosh ka poster lapeta hua paya gaya. Zahir si baat hai Bangali film industry mein khauff bhi hai aur gussa bhi. Khauff issliye ki serial killer ka agla nishana kaun hoga, aur kuch logon ko dhukh iss baat se hai ki serial killer ne koi bangla film poster ka istemal kyon nahi kiya laashon ko lapetne ke liye. Unhe darr hai bangla film industry par hindi filmon ka yeh gehra asar kahin bangla industry ko le na dube.

Ussi din Dophar ko shaadi ki saalgirah manane ke liye Debdyuti aur uski biwi bahar khana khane gaye “khana toh kha liya ab kya karna hai madam,?” “film dhekhne chalein, Prasenmeet ki film lagi hai jiske liye usse puruskar mila hai?” “mere paas ek aur plan hai…” “mujhe pata hai koi boriyat wali pustak mele mein le jaoge ya kahin koi Rabindra sangeet ka karaykram hoga wahan le jaoge….mujhe nahi jana” kehkar Suhasini ne muh fula liya” “are mujhe baat toh puri karne do, kyun na Kalasangam jaakar natak dhekhe,?” Suhasini ne phir se apna sar pakad liya “tumhe mere saath nahi ghumna toh aise hi bol dete yeh sab natak karne ko kaun keh raha hai?” Debdyuti jhat se kursi se uthe aur Suhasini ko godi mein utha liya, achanak se godi mein uthane par Suhasini ka chehra sharam se ekdum laal ho gaya, “utaro mujhe Deb, sab dhekh rahe hain” “toh bolo meri yeh nautanki dekhni hai ya Kalasangam mein jo natak chal raha hai woh…” “jo Kalasangam mein natak chal raha hai woh…ab utaro”

KALASANGAM theatre
Debdyuti ko Kalsangam mein dhekh kar Kalasangam ke maalik unse milne aayein, aur unke natak dhekhne ki icha zahir karne par apne P.A ko bulwakar do ticket katawa diye,  toh Debdyuti ne kaha “par paise lene honge aapko” “haan haan thik hai pehle natak toh dhekhiye, acha lagega toh de dijiyega ticket ke paise. …Aaj naye natak ka pehla show hai isliye film abhineta Taran Kumar mukhya athithi hai, unhone bhi apne abhinaye ke jeewan ki shuruat natakon se ki thi” “kaunsa natak hai aaj“ Ranjan Das ko to sabhi jante hai, unke bete Inder Das bhi natakaar hain, unhi ki likhi hui kahani PRATISHODH par adharith hai aaj ka natak”

Hall mein mukhya athithi film abhineta Taran Kumar ke paas bhaithe the Debdyuti aur unki patni aur unke saath Kalasangam ke maalik Ragvendra Mukjherjee. Natak interval tak bahaut romanchak ho gaya tha par Debdyuti ne paas bhaithe Taran Kumar ko apne rumal se maathe pe lage paseene ko pochte hue dhekha. Taran Kumar thode aast waisth lag rahe the. Interval hone par Ragvendra, natak ke nirdaishak Inder Das aur sah nirdaishak Atanu ko Taran kumar aur Debdyuti se milate hain, Debdyuti ne Inder Das ko Taran Kumar ki taraf bade ajeeb tarh se dhekhte hue paya. Idhar Taran Kumar bhi unse nazarein milakar baat nahi kar paye. Dono ek dusre ko namaskar karte hain phir Inder Das aur Atanu wahan se chale jate hain. Natak phir se shuru hota hai.

NATAK MEIN.
Ek abhineta bhude aadmi ke kirdar mein haath mein khanjar liye ek aur kam umar ke aadmi ko gusse mein kaha raha tha “dagabaaz tujh par vishwaas karke maine apni natak ki kahani tujhe sunayi aur tune usse apne swarth ke liye kisi film producer ko bech diya, taki tu naam kama sake aur filmon mein apni jagah bana sakhe, yeh main nahi hone dunga …” kehkar jaise hi woh abhineta khanjar uthata hai ki kahin se ek asli kanjar aakar us kam ummar wale aadmi ko lagta hai. Woh stage se niche gir kar Taran kumar ke god mein dum tod deta hai. Natak beech mein hi ruk jata hai, Debdyuti stage par chad kar upar ki taraf dhekhte hai jahan se khanjar pheka gaya tha, upar stage ki chath par roshni wali bade bade lights thi aur parde ghiraane aur uhtane ki rassiyan. Har theatre mein upar jahan lightein latki hui hoti hai uske paas se ek chotha sa lakdi ka patla rasta banaya jata hai, jis par chadkar lightman natak shuru hone se pehle lighton ki roshni stage par kaise padegi usko set karte hain. Debdyuti bhag kar chothi si ek seedi se usi lakdi wale raastein par chad jaatein hain, par wahan koi bhi nahi tha. Peeche peeche Ragvendrea babu aur Debdyuti ki patni bhi seedi chadkar upar aa jate hain “khooni ne sambhawta yahin se khanjar phekha hoga us abhineta ke upar” Debdyuti upar se neeche stage ki taraf dhekhne lage…… “Acha us abhineta ka naam kya tha?” “Nimai Mujkherjee, chaar mahine pehle hi humari natak company mein aaya tha, acha kaam kar raha tha” “uska koi dushman, jo uski jaan lena chahta ho?” “Pata nahi, mujhe toh nahi lagta,“ “Taran Kumar kahan hai kisi ne unka haal poocha?” “haan abhi woh thik hai, unki tabiyat thodi bigdi zaroor thi par abhi thik hai” “swabhik bhi hai agar koi kisi ki god mein akar dum todta hai, toh koi bhi apna santoolan thik nahi rakh payega” “Police ko italah kar dijiye” Debdyuti lassh ko bade gaur se dhekhte hai “Nimai Mukherjee ka chehra agar thik se dhekhi jaye toh Taran Kumar se bahaut milta hai nai? “ Debdyuti ne Ragvendra babu se kaha “haan yeh baat toh maine gaur hi nahi ki, but it’s a simple coincidence.”

AGLE DIN
Aabir ne Debdyuti se kaha “main yeh bhabhi se kya sun raha hun kal raat…” “hmm“ “toh koi surag wagera mila kya…?” “jahan se khoon hua hai wahan par bhini bhini khushboo thi,… lagata hai Old Spice aftershave ki hogi , bahaut hi halki,  aur khooni bhi lagta hai koi andar ka hi aadmi hai” “woh kaise?” “khoon hone ke turant baad main seedi se upar us jagah gaya tha jaahn se khooni ne khanjar phekha tha par mujhe wahan koi nahi mila”  lagta hai ghatna ghatne ke baad woh khooni wahan se bhag gaya hoga par kaise “s­­­­hayad koi dusra raasta ho?” “Exactly, aur woh tabhi ho sakta hai jab koi pehle se uss jagah ko janta ho” Debdyuti phir se Kalasangam jaata hai, iss bar Aabir bhi saath tha. Ragvendra babu ke P.A. unhe andar le gaye “subha police aayi thi sahab” “kuch kaha” “nahi kuch khaas nahi as usual sabse poochtach kiya aur phir chale gaye?” “kya poocha?” “yahi kaun kahan par tha aur uss samay kya dhekha ityadi ityadi” “police ko apna kaam karne do, main apna kaam karna chahta hun, Debdyuti ke saamne khoon karke khooni bhag jaye yeh main hone nahi dunga”

Dono phir se upar jaate hain, aur neeche stage ko dhekhte hain, puri baat samjhte hi Aabir ne ek baat kahi jisse Debdyuti ekdum se chaunk gaya “tere hisaab se khanjar yahan se phekha gaya tha, agar khooni apne waar se chunkh jata toh khanjar uss natak mein abhinaye karne wale abhineta ko na lagke uske thik peeche darshakon mein bhaithe abhineta Taran Kumar ko lagta nai?” “arre boss!  baat to tu sahi keh raha hai,……” Aabir thoda muskurane laga “pata hai Aabir jab natak chal raha tha us samay  main Taran Kumar ke paas hi bhaitha hua tha, uske chehra passene se iss kadar bheega hua tha ki maano abhi baarish hui ho, uske baad interval mein jab Inder Das aur unke sah nirdaishak usse milne aaye toh ajeeb tarah se ek dusre ko dhekh rahe the” “ho sakta hai natak mein aisi koi baat ho jisse dhekh kar Taran Kumar pareshaan ho gaye ho” blood pressure bhi toh ho sakta hai Deb, tu har cheez ko shakh ki nazar se kyun dhekhta hai?”  Debdyuti Aabir ko kuch samjha pata ke tabhi uski nazar seedi ki taraf gayi, wahan seedi ke paas ek kaan ki boondi padi hui thi. Debdyuti usse uthane ke liye jaise hi jhuke unka pair dhoti mein fas gaya aur Debdyuti seedi mein do teen kadam phisal gaye, Aabir chikh pade. Kisi tarah Debdyuti ko neeche utara gaya. “main thik hun, par lagta hai pair mein moch aayi hai”

Debdyuti ke pair mein moch anne ki wajah se poochtach ka zimaa Aabir par aa gaya. “Aabir dhekh do din se pehle toh main bahar nahi jaa sakta” “ok sir, don’t worry I am at your service, bata kya karoon?” “woh daraaz mein kaan ki boondi rakhi hai use lekar ek baar Inder Das aur uske sah nirdaishak Atanu ke ghar jaa aur unse poochtach kar iss barein mein” “matlab?” “matlab ye jab kal natak ke interval mein Inder Das aur Atanu humse milne aaye the, tab unke kaano par meri nazar gayi wo dono hi  apne dono kaanon mein boondi pehnete hain.“ “tera matlab hai inmein se kisi ek ne?” “pata nahi mere shakh ke daayere mein to hai, khair woh toh har koi hai jo us din theatre mein maujood tha.“ “acha aur koi baat jise main dhyan mein rakhun?” “haan woh kushboo jo mujhe upar mehsoos hui thi jahan se khanjar phekha gaya tha.” “toh inse poocho iske baarein mein ?” “haan poochna to hoga kyunki interval mein in dono ke aane par pehli baar yeh kushboo aayi thi toh soch raha hun shayad yehi koi surag ho?” “ek baat bata yeh kushboo wali baat main kaise pata lagaon?” “very simple,  dukaan jaa aur bol Old Spice ka aftershave dhikhayye, dukandaar ek safed rang ki shishi dega jis mein old spice lal rang se likha hoga, bus ek baar sungh le pata chal jayega …” “tu sure hai wahi hai?” “yes mere bandhu, Old Spice ki hi khushboo hai”

Aabir ne Inder Das aur Atanu Mukherjee se poochtach ki aur phir shaam ko ghar aakar Debdyuti ko saari baat batayi “Inder Das ka ghar kaafi bada hai aur wo bada hi shaukeen mijaz ka insaan hai, par mujhe dhekhte hi thoda sa ghabra gaya tha” “woh kaise?” “jab maine andar khabar bhijwai toh ek darban mujhe andar le gaya, Inder Das rehearsal mein jane ke liye apne bag mein apni zaroorat ki cheezein dal raha tha, mujhe dhekhte hi uski nazar mujh par hi tiki reh gayi aur wo table par rakhe chai ke khali cup ko bag mein dalne laga, mere namste bolne par usse hosh aaya aur usne chai ka cup wapas table par rakh diya. Maine usse khoon ke barein mein baat ki, woh bahaut afsos kar raha tha us abineta ki maut par. Then I came quickly to the point, maine use khushboo wali baat batayi, aur uska bag talshne ke liye anumati mangi, usne razamandi de di. Deb uske bag mein Old Spice aftershave ki shishi padi hui thi, par kaan ki boondi jo humein mili thi uske saath Inder Das ke kaan ki boondi ka mel nahi hai.” “aage kya hua?” “ maine unhe kaha ki aap shak ke daayere mein hai, isliye shahar ke bahar mat jayiye, aur phir Atanu ke ghar gaya, yeh kakinara ke flats mein rahta hai, bachelor hai, isliye jyada taam jhaam nahi hai ghar mein. Maine usse bhi wahi sawal pooche “sir main daari bhi saaboon se banata hun shaving cream ka istemal nahi karta, aftershave toh dur ki baat hai, maine yeh bhi poocha ke kya Inder Das ke bag se Old Spice lekar istemal kiya tha, aise hi man kiya ho agar, usne kaha ki sir lagaounga toh apne paise se, kisi se mange ke nahi” “hmm, aage?” “ phir maine kaan ki boondi bhi dhekhai, now this is interesting, kaan ki boondi dhekh kar woh bhi chakit raha gaya phir usne apne dono kaan dhikhaye aise hi kaan ki boondi usne pehni hui the par dono kaano mein… matlab uske kaan ki boondi kahin khoyi nahi thi, iska matlab yeh toh khooni nahi ho sakta” “hmm” “hala ki maine use bhi shahar se bahar nikalne se mana kiya hai” “woh aise bhi nahi nikalenge, kyunki unka show aaj phir se shuru ho raha hai, yeh dhekh akhbaar mein ishtehaar hai”
Agle din dophar…

“Aaj kaisa mahsoos kar raha hai,?” “behtar hai, kalse. Soch raha hun aaj thoda bahar niklunga” “iss halat mein?” “haan soch raha hun Taran Kumar ke ghar jaoon…” par uss din Debdyuti nahi gaye kyunki phone karne par pata chala Taran Kumar Bombay gaye hain kisi shooting ke silsile mein, aur wo do din baad lautenge.
Unke Bombay se wapas aate hi Debdyuti ne unse milne ke liye unke manger se baat ki. Manager ne unhe agle din aane ko kaha. Taran Kumar ussi raat ek party se ghar aate hi nashe ki haalath  mein bina kapde khole hi  apne kamrein mein so gaye. agle din subah bhi nahi uthe, Debdyuti ko bhi manger ne yeh keh kar taal diya ki woh abhi bhi so rahein hain, jab need khulegi woh phone kar denge.

Ussi din shaam aath baje community hall mein….
“bhaiyon aur bheno hum aap logo ke bahaut abhaari hain jo aap log  apne wayast jeevan se thoda sa samaye nikal kar aaj yahan upasathith hue hain. Rangmanch ke mahan natyakaar aur lekhak  shri Ranjan Das ki kitaab NATYASHASTRA ek doobta hua suraj ka hum aaj unke putra shri Inder Das ke dwara udhghatan karenge” taaliyon ki gunj ke beech Inder Das stag chadte hain.
“Namaskaar yeh kitaab pitaaji ke dwara likhi gayi unki aakhri kitaab thi. Yeh kitaab un logo ko samarpit hai jinhone apni saari zindagi is nataya kala ke naam kar di. Aaj ki iss duniyaan mein jahan har kala ko ek manch mila hua hai wahin natyashastra jaisi purani kala ki kadar aaj dheere dheere ghat rahi hai. iss ka ek karan filmein bhi hai, par iska yeh matlab nahi nikalna chahiye ki hum filmon ke khilaaf hai, woh bhi apne mein ek badi kala hai, bahaut mehnat lagti hai ek film banane mein par dhukh tab hota hai jab raaste ke ek taraf theatre par ek ache natak ki ticket ki khidki logon ki raah dhekhte hue budhi ho jaati hai, aur raaste ke dusri taraf cinema hall mein kisi superstar ki naach gaane se laaiz bina kahani ki film ke liye ticket khidki logo ki bheed mein nazar hi nahi aati. Achi cheezein aur buri cheezein har kala mein hoti hai ya aise keh le ki dhekhne wale ki nazar par nirbhar karta hai ki use kala ka kaunsa roop kis hadh tak pasand hai, toh janaab agar aap janta janaardhan buri picture dhekhne ke liye paisa karcha kar sakte hain toh ache naatak ke liye bhi do paise kharcha kijiye na, hum log jo natak se jude hue hain unhe acha lagega. Dhekhiye jab tak janta natak dhekhna ek film ki tarah apni adaat nahi bana leti tab tak natak ko, rangmanch ko jiwit rakhna bada mushkil hai, main yeh nahi kehta ki log nahi hai natak dhekhne ke liye par jo hai woh kam hai, isse yeh hota hai ki aaj kal natak ke abhineta rangmanch ko chodkar filmon mein apni kismat aazmane lage hain. Natak ke is rangmanch ki uthal puthal ke barein mein hi iss kitab mein lekhak yani mere pitaaji Ranjan Das ne apne bhav parakat kiye hain.”

Kitaab ke udhghatn mein Debdyuti aur Aabir bhi shamil the. Kareeb raat ke 9.00 baje ye karyakarm khatham hota hai aur yeh dono ghar janne ke liye taxi ke intezaar mein raaste par khade hokar cigarette pee rahe the. Tabhi police ki ek jeep unke paas akar rukti hai, usmein daroga Sengupta the “are aap log yahan?” “are woh ek pustak udhgahtan ke karaykram mein gaye the, aur ab  ghar jaane ke liye taxi ka intezaar kar rahein hai” “are aaiye aapko main ghar chod deta hun” jeep mein daroga Chaterjee bhi the “are aap bhi, namaste” “namaste kaise hain” tabhi Chatterjee babu ke walky talky par kabar aati hai ki Taran Kumar ka khoon ho gaya hai. Yeh chaaron wahan pahaunchte hain.
Taran Kumar ke ghar pahaunchte hi un logon ki mulakat uske bawarchi se hui jo in logon ko uske kamrein mein le gaye, bister par lash padi hui thi, police ke saath tehkikaat karne wala dal bhi aaya tha, pehli baar Debdyuti aur Aabir ne lash ko Sanjeev Kumar Suchitra Sen ki film Aandhi ke poster se lipta hua dhekha. Debdyuti ne bawarchi se pucha “itne bade abhineta aur koi khas security nahi, ajeeb baat hai? “ “sahab security toh hai par woh toh bahar hai, andar toh sab mahfooz hai, toh andar security kabhi thi hi nahi, 

“Debdyuti kamrein ki khidki ki taraf jaate hain aur neeche dhekhte hain, “mere khayal se khooni yahin se aaya hoga yeh pipe chadke” “par sahab aayega kaise ghar se kareeb 50 meter ki duri par dus feet ki deewar hai, woh dhekhiye” security guard ne deewar ki taraf ishara karte hue kaha. “Taran Kumar ke manager kahan hai, unhe itelah ki?” “haan saab woh abhi aa rahein hain” itne mein manager sahab aa jate hain “aapko maine aaj subah phone kiya tha, aapne kaha jab wo uthenge toh aap mujhe batayenge taki main unse milne aa sakun par….” “Taran ji ne dophar ko uthne ki koshish ki thi par nashe ki wajah se unka sar bhari tha toh dawai lekar phir se so gaye. “ “Kareeb shaam ko saath baje black coffee lekar main unke kamre ki taraf gaya. Sahab ke kamrein se awaaz sunayi padi “in in….. aur phir ek cheekh sunai di, main bhaghte hue kamrein ki taraf aaya aur darwazaa jor jor se khathkhtane laga par darwaaza nahi khulne par bahut mushkatt karne ke baad darwaza maine tod diya. Sahab ki laash bister par padi hui thi” kehkar bawarchi rone laga. Debdyuti aur Aabir abhi bhi lash ki taraf dhekh rahe the. “Chatterjee babu agar aap chahe to main aapki madad kar sakta hun, mujhe khushi hogi” “hmmm, thik hai, par unofficially kyunki…” “haan haan koi baat nahi, actually ache ache kalaakar agar aise kisi sarfire serial killer ke haath marte rahe toh phir achi filmein kaise dhekhne ko milengi.“ daroga Chaterjee ne bhi baat ko mante hue sar hilaye. “toh abhi hum yahan se thane chalte hain, waise bhi taxi toh hai nahi, toh thane se Arun Kumar aur Shamit Sahay ki laash par jo poster lipte hue the woh poster bhi aap humein de dijiyega, agar aapne unhe sambhalke rakha ho toh aur agar aap ko koi aeitraaz na ho to?” “haan haan dono poster sambhal kar hi rakhe hai kyunki woh case abhi band nahi hua hai.” “that’s good”

Ghar pahaunchte hi khana khane ke baad Debdyuti ek cigarette jalate hai aur postoron ko gaur se dhekte hain “Aabir ek cheez gaur ki?” “kya?” “Taran Kumar ke kamrein mein wohi Old Spice wali khushboo aa rahi thi” “haan aur agar tujhe yaad ho bawarchi bhi keh raha tha ki usne kamrein se ‘in…in’ ki awaaz suni thi, toh shayad wo Inder Das bolne ki koshish kar raha ho” “hmm quiet possible, matlab khoon kiya aur phir wahan se khidki se utarkar nazar chupate hue dus feet ki deewar fand kar raat ko community hall mein kitaab ka udhghatan karne gaya?” “kyun nahi ho sakta?” “ho sakta hai, par janaab humarein paas koi thos saboot nahi hai sabit karne ke liye” “agar yehi khooni hua toh serial killer yehi hai?” “chal bahaut raat ho gayi hai, in postoro ko yahin rehne de kal subha sochte hain aage kya karna chahiye” Debdyuti apne kamrein mein chala jata hai. Ratan inka naukar subhah Aabir ke kamrein mein chai dene ke liye darwaza khathkatha hai, Aabir hadbadi mein neend se uth kar darwaza kholta hai, Ratan kehta hai “are! Bahut raat ko soye the kya, need kyun nahi khuli, kabse darwaza kahtkhata raha hun, uff yeh lo chai, mujhe aur bhi kaam hai.” Aabir neend mein chai ka cup table par rakhne jata hai par chai ka pyaala phisal jata hai. Sari chai in teen postoron par gir jati hai, Aabir ki neend ab khul gayi, woh teeno postoron ko kapde se saaf karta hai aur ghabrakar Debdyuti ko pukarta hai. 

Debdyuti aakar kamrein mein kapde tangane ki rassi par teeno postoron ko clip se tang deta hai, taki khidki se aati hui dhoop postoron ko sukha de “uff! Yeh meri neend ki wajah se sab hua, sorry Deb. “thik hai, par ab in postoron mein ek daag ho jayega, chalo chodho” Debdyuti kehta hai “ chal thik hai main nahane jata hun, tu bhi taiyar ho ja, agar kahin nikalna hai toh?” Debdyuti Aabir ki kisi bhi baat par dhyan hi nahi de raha tha, woh sirf tange hue postoron ko dhekh raha tha. “Aabir jaldi idhar aa.” “kya hua, daag chala gaya” “uff! Idhar aa ke dhekh” Aabir gaur se postoron ko dhekhta hai, sooraj ke roshni mein Zakhm aur Aakrosh wale postorn mein kuch halka halka chapa hua tha.”Gaur se dhekh in postoron ke banne se pehle in kagazo par kuch aur hi chapa hua tha, uske upar safed rang ki putaai ki gayi hai taki chapai chup jaye uske baad yeh film ka poster uske upar banaya gaya hai. “ “kyunki safed rang ki putai sahi se nahi hui hai isliye dhoop mein halka halka nazar aa raha hai” “hmmm, mera magnifying glass lekar aa” Debdyuti magnifying glass se postoron ko kareeb se dhekhta hai“ Teenmurti prastuti LANGDI SOCH- nirdeshak- Manik Shah. Sah nirdeshak – Rituraj Inamdaar Mitra. Lekhak – Ranjan Das, Abinaye- Arun Kumar, Mala devi.”  “hmm, dusra poster mujhe padne dega?” Aabir ne dilchaspi se poocha aur padane laga “Teenmurti prastuti AADMI- EK MANTHAN – nirdeshak –Ritwik Sengupta. Lekhak – Ranjan Das, Abhinaye – Shamit Sahay, Sunaiyna.”

Debdyuti jor jor se hasne laga “kya baat hai wah! re serial killer wah….” “yeh toh samajh    mein aya ki yeh sab natak ke naam hai, aur yeh bhi samajh gaya ki Arun kumar aur Shamit Sahay dono shuruat mein rangmanch mein abhinaye karte the, par isse kya sabit hua?” Debdyuti ek cigarette jalate hue kehte hai “kuch kuch baat samaj mein aa rahi hai, gaur se sun, acha uske pehle teesra postor jo Aandhi wali hai usmein dhekhto woh asal mein kaun sa postor tha?” “no sir, iss postor mein kuch nahi hai, safed kagaz par Aandhi film ka postor banaya gaya hai,” Debdyuti bhi dhyan se dhekhta hai, aur cigarette ke challe hawa meh chodkar kursi par bhaith jatein hai “kya hua tu kuch bolne wala tha?” Itne mein hi darwaze par ghanti bajti hai, daroga Chatterjee khade hue the “ aaiye andar  kamrein mein chalte hain, kaafi interesting surag mila hai” Aabir ne kaha “sach mein, that’s wonderful” Chatterjee sahab ko Aabir teeno postor magnifying glass ke dwara dhikhate hain aur phir Debdyuti ko iske baarein mein aur wistaar se batane ko kehte hai.


“Mere kehne se pehle daroga sahaab, aap batayiye aap kahan tak pahaunche is case mein?” “Arun kumar aur Shamit sahay ke postmortem report se yeh pata chala hai ki khoon shayad 6 inch ke chaku se kiya gaya hai, hala ki Taran kumar ke pet mein bhi khanjar  ghop kar mara gaya  par iss chaku ki lambai 4 inch hai, inke gharwalon se pooch tach jaari hai, par  koi nateeza nahi aa raha hai” “ hmm, chaliye ab main aap ko batata hun, yeh teeno postoron mein darsal aaj subah chai gir gayi thi, toh sukhane ke liye jab humne isse rassi mein taanga toh khidki se suraj ki roshni mein in film postor ke aar paar bahut kuch nazar aa raha hai. Jise abhi aapne bhi gaur kiya hoga. Jo bhi khooni hai woh sanki toh nahi maloom padta hai, koi bahut shatir dimag ka hai aur janta janardhan se kuch kehna chahta hai” Ratan ghar ka naukar in teeno ke liye chai lekar aata hai “acha iss baar chai jara dhyan se peejiega aap log, aur kuch chahiye  toh bula lijiyega” kehkar Ratan wahan se chala gaya. “In postoron se main yeh toh pata laga sakta hun ki khooni ke dimag mein kya hai, par abhi bhi khooni..” “kya hai uske dimag mein?” “daroga ne poocha“ dhekhiye ye pehle do postor ki baat karte hain, in postorn ke kagaz bahaut purana hai, lagbhag ek hi samaye ke, andazan pachees saal, kyunki agar gaur se dhekhe Zakhm film postor mein jo watermark hai, halke halke mein likha hai teenmurti prastuti, yeh bahut hi purani tarah ki likhwat hai, aur dusri baat is kagaz par pehle safed rang pota gaya hai, taki sab likhi hui cheezein chuph sake, par dhikhayi bhi de, isse khooni ki niyat ka pata chalta hai, usne is postor par utne hi safed rang ki putai ki hai jitna ise dusre postor ka roop dene ke liye chahiye, dusri baat wo filmon ke postoron ka upyog kyun kar raha hai har khoon ke baad?, gaur se dhekhe pehla khoon Arun kumar ka hua hai, aur jis postor se usse lapeta gaya hai us postor mein uska naam hai, mera matlab Zakhm film ka nahi, uske neeche jo asli natak ka naam LANGDI SOCH. Yeh tab ka postor hai jab woh filmon mein nahi natakon mein abhinaye karta tha. Thik ussi tarah agar aap Aakrosh wala poster dhekhe uske peeche water mark hai phir se Teenmurti prastuti AADMI – EK MANTHAN jismein Shamit Sahay ne abhinaye kiya tha...” “Shamit Sahay!” “that’s right” “ acha par khooni ne purane postor hi kyun nahi lappet diye laasho par? unme naam bhi saaf likhe hue the, unko dubara safed rang kyun kiya aur uske upar in hindi filmo ke postor kyun banaye?” “Good question, dhekhyiye khooni bahut shatir dimaag ka hai, woh khoon toh kar rah hai, par kuch batana bhi chahata hai, dhekhiye pehla postor film Zakhm ka hai. Is ki kahani par mat jayiye, par shabd par gaur kijiye, ‘Zakhm’Arun kumar aur khooni ko yeh shabd kahin na kahin jodta hai, shayad aisa hua ho ki Arun Kumar ne khooni ko shayad kisi tarah choth pahaunchayi ho. Dusra Aakrosh, matlab  woh apne gusse ke barein mein jatana chahta hai, shayad Shamit sahay ke saath koi baat hai. yeh ek serial mein chal raha hai. Zakhm hota hai phir Aakrosh” “hmm I see, aur teesre postor ka kya?’ “haan is teesre postor ne mujhe soch mein daal diya hai, kyunki issmein koi watermark nahi hai aur kagaz bhi naya hai. Gaur karne wali baat hai ki film postor Aandhi ka hai, yeh thoda atpata laga mujhe” “kyun aisa kyun laga tujhe?” Aabir ne kaha “agar main in shabdo ko dhekhun katil ko Zakhm ke baad Aakrosh aur uske baad 1974 mein Shatrughan Sinha, Moushmi Chaterjee ki film Badla ya phir 1989 mein Mithun Chakrborty ki film aakhri badla ke poster se laash lapetna chahiye tha, yeh mera anumaan hai, par Aandhi film nahi. Mera logic toh yehi kehta hai” “terrific Debdyuti babu kya dimaag lagaya hai, toh iska matlab kya hua?” “wahi pata lagane ki koshish kar raha hun daroga sahab haan ek aur baat” “woh kya” “Taran kumar ke kamrein mein us din aapne kuch gaur kya tha?” “kya?” “us kamrein se ek mahak aa rahi thi woh hai Old Spice ki?, aur Old Spice Inder Das lagate hain toh…” “aur agar aapko yaad hoga bawarchi keh raha tha ki woh jab coffee laker Taran Kumar ke kamrein ke taraf jaa raha tha toh usne kamrein se ‘in in’ ki awaaz suni” “ekdum sahi yeh toh mujhe bhi yaad hai, iska matlab” daroga sahab bolkar sochne lage “acha abhi humein kya karna chahiye Deb babu?” “ aap apne tarike se tehkikaat kariye main apni tarh se, dhekhte hai kuch aur milta hai ki nahi” “thik hai abhi main chalta hun”

“Aabir ab khidki ke paas jaake bahar dhekhne laga, Aabir ko kuch yaad aya aur usne Debdyuti se poocha “acha tune woh sone ki kaan ki boondi ke barein mein toh daroga ko kuch nahi bataya,?” “are saare kaam main hi karke dunga. Usko bhi pata lagene de” “Aabir muskurane laga” par ek baar Inder Das ke ghar phir se jana hai”

INDER DAS ke ghar
“Aap jis din kitab udhghatn kar rahe the uske pehle kahan the?” “kya matlab, ghar se nikla tha, aapko pata hai mere ghar se jahnan kitaab ka udhghaatn hua tha wahan tak jaane mein kitna samay lagta hai?” “paitalis minute” “ toh main khoon karke kaise wahan pahaunch sakta hun, itna thanda dimaag nahi hai mera janaab.” “aap detective hai ya police jo bewajah gunah mere upar thop rahein hain” “dhekhiye uss raat ko Taran Kumar ke kamrein se bawarchi ne do baar  ‘in in’ ki awaaj suni thi jab hum wahan pahaunche khoon ke baad toh wahan se Old Spice aftershave ki sughandh bhi aar rahi thi, toh….” Inder Das chup ho gaye “ dhekhiye agar aap sach keh de toh” Inder Das samne padi chai ki pyaali utha kar gusse main zameen par patak dete hain “maine khoon nahi kiya do you understand that” “thik hai Inder ji, cheekh ne se kuch nahi hoga, khair abhi mere pass thos saboot nahi hai” Debdyuti aur Aabir wahan se chale jaate hain.
Ghar par khane ke baad Debdyuti apne kamrein mein baitha hua tha, ki tabhi Suhasini kamrein mein aati hai “tum abhi bhi soye nahi, kya hua” “need nahi aa rahi, iss case ne bahut uljha rakha hai” Debdyuti har ek baat kehta hai Suhasini se “sone ki boondi, kahan hai dhikhaona” Debdyuti thodi der Suhasini ko dhekhta hai aur phir table ke daraaj ke taraf ishara kar deta hai. Sushasini boondi ko bade gaur se dhekhti hai “ kaafi sadharan si hai” “ladko ki hai, isliye jyada thaam jham nahi hai” “Deb chi chi” “ kya hua” “ismein kuch chamde jaisa laga hua hai, tumne dhekha nahi?” Debdyuti Suhasini ke haath se boondi leta hai aur usse gaur se dhekhta hai, kaan ki boondi ke painch par chamde jaisa kuch laga hua tha, bahut gaur se dhekhne par hi pata chal rah tha. Debdyuti usse sungta hai aur fir “hmmm, Suhasini kal mujhe jaldi jaga dena, bahut neend aar rahi hai” “abhi toh tak taki laga ke bhaithe hue the, abhi neend  aa gayi?” “haan talent hai mera”

DO DIN BAAD..
“Do din se tu kahan tha?” “main kahan tha, tu bata tu kahan tha ?” Aabir ne ulta prashan Debdyuti se kiya. Main toh thoda kaam mein wayast ho gaya tha, bhabhi ne kaha tum do din se subha nikal jate aur raat ko aae, masla kya hai, kuch kaam ban raha hai?” Debdyuti Aabir ki baatein sun raha tha. Tabhi balcony mein akhbaar wala akhbaar daal kar chala jaata hai.
akhbaar mein …..
‘Posterwale Serial Killer ne iss baar National Award Vijeta Prasanmeet ko mauth ke ghaat utar diya’ Debdyuti ghar se nikal jaate hain, saath mein Aabir bhi. Thane pahunchkar pata chala Chatterjee sahab khoon ke silsile mein Head Quarter Commissioner se milne gaye hain ek ghante mein aayenge. Aabir aur Debdyuti Chaterjee ke table ke paas bhaith kar intezaar karne lage. Kareeb 15 minute se Debdyuti ki nazar aas paas deewar par bhatakne lagi, ek deewar par Ghandhi aur Nehru ki tasweer tangi hui thi toh dusri taraf  naami khooniyon ke tasweeron ke neeche pakadane wale ko kitna innam milega woh likha hua tha, Debdyuti ek baar iss deewar ko dhekhte aur ek baar Ghandhi aur Nehru wali deewar ko  dhekhte, phir muskurate, Aabir ke poochne par woh bole “ kuch nahi” isi beech Chatterjee sahab aa gaye. “are aap log akhbaar padke aa gaye, main aapke ghar aa hi raha tha, chalo acha hua aap hi aa gaye, kahiye chai wagera kuch?” Debdyuti ke naa karne se pehle hi Aabir ne kaha “chai” Debdyuti ek baar Aabir ki tarf dhekhte hai par Aabir aise muh ghuma lete hain jaise Debdyuti waha hai hi nahi. “are iss khooni ne toh pareshaan karke rakha hai, meri toh naukri jayegi ab” “iss baar postor mein kaunsi film thi?” “Protishodh, iss bar bangla film” Chatterjee thoda muskurate hue bole. “1981 ki Uttam Kumar aur Shoumitro Chatterjee wali film?” “ haan wahi, aur khoon bhi usi khanjar se hua hai” Debdyuti phir se soch mein pad gaye“aap ko agar laash dhekhni hai toh ….” Debdyuti aur Aabir dono unke saath laash dhekne chale gayein, aur woh poster bhi dhekha jismein woh laash lipti hui thi. Unhone Chatterjee se bola ki ek baar poster ghar bhijwa de. Dono ghar aa gaye.  Jab Chatterjee babu ne poster bhijwaya to iss baar poster par phir se watermark tha. Zakham aur Aakrosh waale poster ki tarah. Iss baar “Teenmurti prastuti PAAPI PAITH – nirdaishak –Ritwik Sengupta. Lekhak – Ranjan Das, Abhinaye – Prasenmeet Mukherjee, Sunaiyna.” Debdyuti apne kamrein mein chale gayein aur kaha mujhe thoda waqt chahiye, koi mujhe disturb na kare” Suhasini ne Aabir ki taraf dhekha, Aabir apne kamrein mein chale gaye. Suhasini rasoighar mein.

AGLE DIN SHAAM KO
“Kuch baton ko lekar charcha karnI hai“ “kya, kuch samajh aa ra hai”
“Pehli baat yeh hai ki yeh koi ek khooni ka kaam nahi hai” “matlab serial killing nahi hai?” “darasal  teri bhabhi ko tehkikat ke barein mein bata raha tha, toh jab usne kaan ki boondi dhekhi, uss boondi ke pench mein kuch laga hua tha, jo meri nazar se chuk gaya tha. Uski jaanch karwayi toh pata chala ki woh rubber ka kuch hai. Main phir se Atanu ke ghar gaya, mera dil keh raha tha ki hona na ho kuch aisi baat hai, jo meri nazar se bach rahi hai. kyunki yeh boondi hubabu Atanu ke kaan ki boondi jaisi thi toh main uske ghar wapas gaya. Main uske kamrein mein talashna shuru kiya, soch raha tha kuch haath lag jaye, duplicate kaan ki boondi ki raseed bhi mil jaye ya kuch bhi aur.. achanak mere haath ek tasweer lagi ?” “toh?” Atanu ki bachpan ki tasweer thi, aur usse pata chala ki Atanu ek kaan wala hai” “matlab “Aabir Atanu ki ek kaan hai hi nahi” “kya” “aur woh rubber ka naqli kaan lagake ghumta hai, jo itna asli dhikhta hai ki aam logo ko pata hi nahi chalta ek nazar mein. Aur jo cheez kaan ki boondi mein laga hua tha woh ek chotha sa chaal tha uske nakli kaan ka. “ yeh sab tujhe kaise pata chala?” “Atanu ne khud bataya” “kaise?” “ batata hun. Mujhe tasweer se shakh hua, Main daroga Bose ke saath reahearsals mein pahauncha, maine zor se cheekha Enu, toh Atanu jo parde ke peeche tha bahar agaya, aur mujhe dhekh kar wahin stage mein jam gaya.

Maine usse uski bachapan ki tasweer dhikhayi jismein woh apne doston ke saath maidaan mein khada tha. Theek us tasweer ke peeche sabke ghar ka naam likha hua tha aur saath mein asli naam. Jaise log karte hain aksar, apne tasweer ke peeche jahan tasweer khichwayi , wahan ka naam, aur kiske saath hai uska naam. Issemein Enu likha hua tha aur bracket mein Atanu.” “phir kya hua” “ phir bade maze ki ghatna ghati, maine usse kaha ki Nimai Mukherjee ka khoon tumne kiya hai, toh woh kuch bol nahi paya, par shakal uski sharam se laal ho gayi thi siwaye ek cheez ke” “kya uska kaan?” Aabir muskuraya “ yes, usse aur bhi baat zahir ho gaya, maine jab yeh baat bhi batayi toh stage mein kuch log  dang rah gaye.  Phir usse green room le jakar humne usse poochtach ki” “phir kya hua?” “ Enu matlab Atanu ne saari baat batayi, uske pitaji ka nam tha Rituraj Inamdaar Mitra. Woh rangmanch se jude hue the, Taran kumar aur yeh bahut hi ache dost the par inki dosti tut gayi jabTaran kumar ne Rituraj ki agli natak ki  kahani ka script churake ek film nirmata ko bech diya. Usne jo kiya so kiya par naam Rituraaj ka laga diya, isse natak company khafa ho gayi aur Rituraaj ko naukri se nikal diya. Har jagah yeh baat phail gayi thi ki Rituraj apne fayade ke liye dhoke se paisa kama raha hai, isse Rituraj ki izzaat uchli, kareeb chaar paanch saal baad usne likhna chor diya aur saha nirdeshak ke roop main kamm karna shuru kiya. Yeh chaar paanch saal Rituraaj aur uske pariwaar ko bahaut khateenayion ka samna karna pada, falswaroop chote Atanu ke man mein zahar bharta gaya, aur jab bada hua usne Taran kumar se badla lene ki thaan li. Ussne bahut mashakkat ke baad Kalsangam mein naukri karna shuru kiya, aur phir yeh plan racha, hala ki Taran Kumar ke barein mein Inder Das ko pata thi, par Atanu khoon karega yeh pata nahi thi.” “matlab woh natak jiska naam pratishodh tha asal mein sachi ghatna par adharith thi , aur Atanu ne hi yeh natak racha tha Inder das ke saath,” “ aur isliye Taran Kumar uss natak ko dhekh kar sharam aur dar ke mare paseene se latpat ho gaya tha. Interestingly Atanu ne kam umar wale Nimayi ko sirf is baat pe natak mein abhinaye karne ke liya rakha kyunki uska shakal Taran Kumar se milti hai “ “ baap re baap badle ki bhavna kis hadh tak jaa sakti hai”
“ haan toh usne pehle stage mein  maarne ki koshish ki, bechara Nimai mara gaya, phir usne mauka pate hi 

Taran Kumar ke ghar dhakil hua, woh bhi asli bawarchi ko behosh karke..” “woh kaise matlab jo bawarchi humein Taran Kumar ke barein mein bata raha tha , woh darsal Atanu tha?” “right, are maze ki baat sun, Taran Kumar ka bawarchi khuch rasoi ka samaan laane bazaar gaya tha, Atanu ne iska peecha kiya, aur phir cholorofoam sunga kar usse behosh kar diya, phir uske kapde pehankar uske jaisa tayar ho gaya” “ haan yeh main samaj gaya, kyunki rangmanch se juda hua hai, toh make up karne mein dikkat nahi aayi hogi” “ haan, phir kya, kaun pehchane, yahan tak ki Taran Kumar ka security guard bhi dhokha kha gaya aur phir bhaisahab ek din ke liye ghar ke andar. Usne Taran kumar ka khoon kiya, par apna asli chehra usko dhikhane ke baad. Taran Kumar samajh gaye aur uske zubaan se ‘in in’ nikla. Darsal woh ‘en en’ keh raha tha yani Enu. Badi chalaki se Atanu ne Old Spice ki kushboo chidaka di, aur ek Film poster lappet di” “Aandhi wali?” “ haan, isse woh police aur humare liye surag janbhooj ke chodna chaha taki hum bhatakh jaye. Pehla  Old Spice ki khushboo se woh Inder Das ki taraf dhyaan akarshit karna chaha, kyunki usse pata tha ki Nimai Mukherjee ke katil ki khoj chal rahi hai aur yeh dono hi shaq ke dayere mein hai. Dusri baat serial killer ka atank bhi charche mein hai, usse laga ki yehi mauka hai ke serial killer ke aar mein Taran kumar ka khoon bhi kar de aur police usse yani Atanu ko dhoond na paye. Tabhi Aabir bol pade “ jab usne Old Spice chidkake Inder Das ke taraf humara aur police ka dhyan akarshit karna chahta tha, toh phir usne serial killer wali chal kyun chali yeh samahaj nahi aaya??” “ are! he wanted to be foolproof, agar Inder Das wali baat kamzor pad jaye ,toh yeh serial killer wali baat toh chal hi sakta hai” “ acha” “Par woh do galtiyaan kar gaya, ek toh Nimai ka khoon stage mein karne ke baad bhagte hue boondi gira di apne kaano ki aur exhaust ke rasste bhaag gaya. Usse pata isliye nahi chala kyunki naqli kaan ke wajah se usse kuch mehsoos nahi hua ki kab boondi nikal gayi .“ phir” “ ghar aake pata chala toh usne dimaag ladayi aur hubau ek aur boondi banake pehan li taki kisi ko shaq na ho “ aur poster usne aise hi bazaar se kahreed kar lappet di, jo ki asli serial killer ke poster se mel nahi khati, …par phir bhi kya dimaag lagaya hai” “ yeh Atanuke liye jyada mushkil wali baat nahi, woh natak compani mein sah nirdaishak tha, itna toh woh plan kar hi sakta tha.” “ toh yeh sab usne kabool kiya,” “ haan usne saari baat batayi humein” “ wah Deb great job ek khooni ka toh pata chala” “ haan but credit also goes to your bhabhi. “Iska matlab serial killer abhi bhi pakda nahi gaya” Abir yeh kahkar bister mein bhaith gaye. Tabhi Devdyuti bol pade

“ Aabir ek minute” “ Aabir phir se bister se khade hue aur Debdyuti ke saath Pratishodh wali poster gaur se dhekhne lage “ Roxy” Debdyuti ne kaha  poster theek kone mein Roxy  likha hua tha, jaise harek painter apni painting ke kone mein apna naam likhta hai usii tarah. Debdyuti ne Zakhm wale poster mein Ashoka likha hua paya aur Aakrosh wale poster mein Jyoti likha hua paya . “ par Deb Aandhi wale poster mein Jaiprakash arts likha hua hai, iska matlab?” “ iska matlab bahut saaf hai yeh Jaiprakash wala poster Atanu ne kisi poster ke dukaan se khareeda tha,” “ par yeh teen poster serial killer walein ke hain“ haan” “ yeh pehle mere nazar mein kyun nahi aaya,  yeh teeno naam… bahut badi galti kar di?” “ aankhon ka jaanch karwa bhai” Aabir muskurate hue bole “toh ab kya karein” Aabir ne ek cigarette jalate hue baat kaha. “ sawal hai yeh teen naam kiske hain, aur agar ek serial killer hai toh naam poster mein likha hi kyun hai, Ashoka, Jyoti aur Roxy, do ladke aur ek ladki….” 

Darwaaze par ghanti bajti hai, ek saajjan khade hue the “ ji boliye kya baat hai?” Debdyuti ne kaha “ namaste ek chotha sa darkhwast leke aaya tha, agar aap man le toh bahaut meharbani hogi “ kya?” “ woh darsal aaj local train se  meri biwi Howrah se Lilua jaa rahi thi ki kisi ne train mein uski haar gale se chinn li, ab usne mujhe bheja hai usse dhoond ne, sach kaha raha hun aagar ghar haar lekar nahi pahauncha toh biwi maike chali jayegi  ?” “ isse achi baat kya ho sakti hai” “bahut umeed lekar aay hun agra aap” “ thane jayiye?” “ wahan gaya tha unhone mana kar diya , FIR bhi nahi likh rahe boliye “ “acha chaliye, kaunse station mein hua tha ?” “Liliua ke pehle kahin pe” “ yeh ilaka toh inspector Chatterjee ke thane mein padta hai, acha chaliye mere saath” Debdyuti aur woh aadmi thane pahaunchte hain, Chatterjee babu thane mein nahi the, “ unka tabiyat thik nahi hai isliye woh duty par nahi aaye, par batayiye Debdyuti babu kya masla hai?” dusre daroga ne poocha  “ woh darasal inki biwi ka haar train mein kisi ne chinn liya hai, inki biwi Howrah se Lilua jaa rahi thi, yeh thane bhi aaye the par aap logo ne madad nahi ki” “ woh tho aap jante hi hain, aapse kya chupana, FIR likho phir ek mamuli haar ke liye dauro, dus aur jhamele ..” “ hmm toh aap batiye kya karein, “ :” are bhatiye aap, abhi haar dhoonde deta hun” Daroga ne constable ko bulaya, aur ishare mei kuch kaha, thodi hi der mein constable ek aadmi ko lekar aata hai “ haan toh Debyuti babu haar kis cheez ka tha?” yeh poochte hi Debdyuti ke bolne se pehle woh saajan aadmi bol pade “haar sone ka tha” Daroga ne us aadmi ki tarf dhekha, usne phoran bees sone ke haar nikal ke table par rakh diye “ sahab ismein se jo bhi hai nikal lijiye,  Howrah se Lilua station ke beech  mei aaj aur kaal milake itni hi loot hui thi. Haaron ko daroga saahab ne Chatterjee babu ke table par phaila diya aur us sajjan aadmi se kaha ki apna haar dhoond le, do minute mein haar mila gaya, woh bahaut khush hua “ dhaynyawaad daroga sahab aur Debdyuti babu, par yeh kaisa hua?” “ aap aam kahyiye na, ped kyun dhoondna chahte hain?” Debdyuti ne haskar kaha “chaliye ab nikalte hain, yeh baat humraien beech hi rahe toh acha hai.”
do din se Debdyuti serial killer case ko lekar bahut uljha raha aur  phir teesre din Aabir ke paas ek phone aata hai “ shaam ko Kalasangam Theatre. Agar khooni ke barein main jaanna hai toh, akele aana,” “ hello hello kaun ?” telephone ke rakhne ke baad Aabir soch mein pad gaya ki yeh telephone wali baat Debdyuti ko bataun ya, yeh kisi ne mazak kiya hai?. Phir bhi bahaut der sochne ke baad Aabir shaam ko Kalasangam theatre pahaunchte hain.

KALASANGAM THEATRE
Aabir pahunchte hi Ragvendra Kumar unhe andar hall mein stage par le jaate hain, pure haal mein aur stage par abhi andhera chaya hua tha, Ragvendra ne ek torch ke roshni  se Aabir ko ek kursi mein bhithaya. Mahaul shaant tha, par Aabir ko lag raha tha ki uske alawa stage par aur bhi koi hai, yeh woh mehsoos kar raha tha ki acahank ek spot light beecho beech khade Debdyuti par padti hai, “ namaskaar main Debdyuti Majumdar iss rangmanch par ek asli natak pesh karne jaa raha hun. Par iss natak mein dialougue jyada tar mere honge. Sah abhineta log saamne bhaithe darshako mein hi hai, aur maze ki baat yeh  hai unhe yeh khud nahi pata ki woh iss natak mein shaamil hai. Stage par sirf main aur Aabir honge. Tabhi saarein light hall mein jal jaati hai, darshakon ke taur par pehle kuch seeton mein police ke ala adhikari, aur uske baad janta janardhan bhaithi hui thi. Aabir itne saare log ek saath saamne dhekh thoda ghabra gaya. “ Deb yeh kya kar raha hai, ek kaam kar tu stage par rah main neeche jata hun, mujhe bahaut ghabrahat ho rahi hai ?” Deb ke ishhare se Aabir wahin stage mein khada raha jata hai.

“aap logon ko aaj main ek kahani sunata hun, par uske pehle main yeh bata dena chahata hun yeh kahani asli ghatna par adharith nahi hai balki asli ghatna hai. usse se pehle main yahan per upasthit police ke logon ko anurodh karunga ki aap ek ek karke hall ke sabhi dwaron par khade ho jaye aur dhyan rakhe koi is hall se bahar na jaa paye.” Tabhi  Debdyuti Aabir ke kaano me khuch kehte hain aur Aabir stage se utar jaate hain. Hall mein saari battiyan band kardi jati hai aur sirf ek spotlight stage par Debdyuti ke upar padti hai aur woh bolna shuru karte hain “ 1960 mein Teenmurti namak ek natak company hua karti thi. Nayi natak company thi toh josh alag tha, naye naye logon ko bharti kiya gaya, naye log the, nayi kahaniyaan thi , nayi umang thi. Keh sakte hain bangali natak rangmanch mein ek nayi kranti aayi hui thi. Dusre natak companiyo ke mukaable yeh kaafi azaad khyalo walein soch se bhari natak company thi. Aajke jamane ke Ranjan Das ne bhi uss natak company se shuruat ki thi. Naye abhineta  bhi aaye jinhe apne abhinaye dhikhane ka mauka mila.  Naye lekhak aaye unhe bhi mauka mila. Inme se teen abhineta par aap logo ka dhyan aaj akarshit karna chaunga aur woh hain Arun Kumar, Shamit Sahay aur  national award jeete hue Prasanmeet Mukherjee. Yeh teeno iss company ke jaan the, log inke abhinaye dhekhne aate to the par saath mein kahani achi hone ke karan show mein chaar chaand lag jaata tha. Hall housefull raha karta tha. Kuch saalon baad Arun kumar ko filmon mein abhinaye karne ke mauke aane lage, toh unhone apne liye jo thik laga woh kiya, koi bhi karta ismein koi galat baat  nahi thi, ek kalakaar apne kala ke pradarshan ke liye koi bhi hadh tak jaa sakta hai, aur filmon se acha madhyam kya hai. Arun kumar Teenmurti chodke chale gaye, company ki haalth kharab hone lagi, kahaniyan achi thi par acha abhineta company ko nahi mil pa raha tha, phir kareeb ek  saal baat unhe ek aur abhineta mila jo the Shamit Sahay. Same story, acha abhineta, teenmurti phir bulandiyon ko chune lagi aur phir se Shamit Sahay ka natak company chodna aur filmon mein jana, aur teesri baar Prasenmeet Mukherjee. Teen abhineta do common baatein “ tabhi kisi ne poocha “ woh kya?” “ 

ek toh bata chukka hun teeno ko filmon mein jana tha aur dusri baat  ki teeno ko  teenmurti natak company mein Madhu Chatterjee namak ek sajjan makeup karte the. Unhone teenmurti ko in abhinetao ke dwara upar uthe hue dhekha tha aur neeche girte hue. Jab Teen murti ki haalth kharab ho gayi toh Madhu babu ne yeh teen bade film abhinetaon ke darwaaza khathkatya madad ke liye, par teeno ne pehchane se inkaar kar diya. Buda aadmi kahan jata ghar mein biwi bacche . Inka pet kaun paalta. Bahut mehnat kiya par jyada kuch haasil nahi hua. Ek din zahar khake khudkhushi karli. Inspector Chatterjee unke bete hain aur serial killer bhi. Tabhi spotlight Debdyuti se hatkar hall ke darwaaze par khade Chatterjee ke upar padti hai, woh bhagna chah rahe the par unke peeche Aabir pehle se hi khade the.“Inspector Shubodh Chatterjee. What an actor. Aapko to abhineta hona chahiye tha.  Idhar main Chatterjee babu ke saath bhaith kar iss case ke dao paainch ke bare mein charcha karta raha or woh mere saath rahkar serial killer ko dhundne ka natak kar rahe the joki woh khud hai, par unke chehre par khud ke pakde jaane ka koi dar hi nahi tha, Brilliant cold blooded murderer.

Par Chatterjee janaab to chitrakaar nikle, inko bachpan se hi tasweere banne ka shauk tha, pitaji Madhu Chatterjee ke liye logon ka makeup karna kalakari tha aur bete ke liye kagaz ya canvas par kalakari karna. Par tangi ke karan Shubodh chitrakaari ke liye ache college mein taalim nahi le paye. Shubodh ke anusaar unke pariwaar ki iss durdasha ka karan yeh teen abhineta hi the. Uske baad pitaaji ki kudkhushi. Saare ghar ki zimmedari ab Shubodh par aagayi thi . Inhone kisi tarah padai lihkayi puri ki aur police mein bharti ho gaye. Par kalakaar toh kalkaar hai, usse apne kala ka pradarshan toh karna hi hai. Toh janab ne filmon ke postar banane shuru kar diye. Maze ki baat dhekhiye janab jis film jagat ne Madhu Chatterjee ko dhukh ke din dhikhaye usi jagat ke film poster banakar unka beta Inspector Shubodh apne kala ka pradarshan karta. Ji haan “itne mein daroga Chaterjee ko dusre police karmiyon ne pakad liya tha, Chatterjee sar jhukhaye kahde the. “ inspector Chatterjee aaj bhi kuch cinema gharon mein film poster banane ka kaam karte hain. Mera dimaag tab thanka jab serial killer walein teen postoron mein teen alaag alaag naam maine pade, Ashoka, Jyoti aur Roxy. Pehle mujhe dhyaan nahi aaya, phir main kisi haar ki chori ke maamle ke wajah se thane mein  gaya aur wahan inspector Chatterjee ke table par kuch kagazon mein yeh naam likhe hue paye.  Ashoka- 4000 rupaye, Menoka – 1000, Jyoti – 2000 rupay, Navina – 500 aur Roxy – 4000 rupaye. Aur inmein se teen naam Ashoka , Jyoti aur Roxy un postoron se milte the. Kagaz mein likhe hue naam mein angrezi shabdh ‘o’ ka style hubabu un postorn mein likhe naam se mil gaye. Baat darsal yeh hai ki yeh koi logo ke naam nahi hai. Yeh teen picture hall ke naam hai. Ashoka diamond harbour mein, Jyoti Lenin sarani mein aur Roxy Esplanade mein” tabhi pure hall mein taaliyon ki ghargharat sunayi di. Maine in picture hall mein jakar poochtaach ki aur pata lagaya.  Jahan se mujhe yeh baat pata chali.  Aur yeh rupaye wali baat darsal picture hall walein inspector Chatterjee ko dene wale the unko majoori ke taur par. “Mr Majumdar isse mera majoori mat kahiye isse kala ka apmaan hota hai. Isse majoori ka naam mat dijiye” kehte hue Chaterjee babu apne ghutnon ke bal bhaith gaye.

P.S : thanks to mum for proof reading this story :).  




9 comments:

  1. The story kept me engrossed and I wasn't able to guess the killer. Full marks to you for that. The narrative I felt could have been more tighter. Anyways, good work, keep writing and keep us all guessing ....

    ReplyDelete
  2. Very interesting story, dada! The ending is a big surprise, loved it!!!

    ReplyDelete
  3. "Hold on... Policewallah is the serial killer!"

    This was how I would react after every reading and I would re-read just to make a note of the entire series of events. And I still think that you hid the mystery in that police thana episode, which I confess, I initially found entirely irrelevant. So you had me loving your story yet again. Though I felt that Debdyuti and Aabir reminded me of Byomkesh and Ajit, still never mind that ...

    Oh yes, while typing any non-Anglican language in Roman script, please be very careful.

    I am awaiting some more stories, this time though I hope things at my end would not be as bad and that I will be able to read your story sooner.

    Love you loads Dada!

    ReplyDelete
  4. Nice story :)

    Took me a while to finish... as a read it wasn’t as enjoyable. But once I managed to finish, overall found the story interesting.

    However, I feel the writing style is as important as the story and the writer could maybe give some thought on this in his next post. Since this is not a visual medium, the process of reading should be given gripping... Hope the reader will take this as constructive feedback and not get defensive. :)

    Keep writing. :)

    ReplyDelete