Tuesday, September 17, 2013

POCKETMAAR


PAYALIA
Suraj ki roshni khidki ke andar deewar par tange aaine par padi, jo takra ke khidki ke ulti taraf 
ek pocketmaar ki aankhon ko chaudhiyaan gayi. Pocketmaar Raju ki nazarein khidki ke taraf gayin. Ek bees pachchis saal ki ladki ghusal-khane se nahakar laal rang ke blouse aur petticoat mein bahar ayi aur aaine ke saamne aakar  khadi ho gayi. Raju dabein paaon jakar khidki ke paas chhup ke khada ho gaya. Ladki ne paas rakhein radio ko on kiya aur table par rakhhe kajal ko apni aankhon mein lagane lagi. Raju ko ab aaine mein iss ladki ka chehra dhikhayi de raha tha, par usse zyada uski nazar un boondon par thee jo geele baalon se girkar ab uss ladki ke peeth se hote hue petticoat ke andar jaa rahi thee. Ussi waqt radio mein gaana bajna shuru hota hai

Jaanu nahin kaise, jaanu nahin kaise,
Piya ghar jaun

Paayaliya, paayaliya kahe ke piya ghar jaaun
Paayaliya, paayaliyaa..

Paayaliya chhan chhan, chhan chhan shor kare mohe 
piya ghar jaaun
Paayaliya, paayaliya kahe ke piya ghar jaaun

Raju dheere se bol para “By god”Ladki ne daraaz se lipstick nikali aur apne hothon par lagane lagi. Lipstick lagate lagate usne  pocket maar Raju ko aaine se dhekha liya, muskurate hue woh lipstick lagane lagi. 

Araj araj kari, garaj karajwa ko
Kare hal pal bechain

Daras daras ko kahe paayaliya
Aas lagawe din rain

Soojh boojh bhulawe
Goonj goonj uthawe

Piya ko pukare haye re...

Jab wah ladki Kumkum lagane lagi, Raju, aur ache se dekhne ke liye, aediyan upar karke jhankne laga. Uss ladki ko aine se ye sab dikh raha tha par wo na dekhne ka dhong kar rahi thee.Ladki ne apne petticoat ko thoda aur niche kiya jisse Raju ko uski nabhi dhikhayi dene lagi. Ussi samay use bahut door se kuch logon ki awaaz sunai dene lagi. Use laga usne jiska batua mara tha woh aur logon ko ikattha karke aa raha hoga par gaur se sunne par use sunayi diya  “Raam naam satya hai, satya bolo satya hai” Raju ki nazar radio ke paas rakhe ek fauji ke tasweer par gayi.

Asar asar aso basar basar kari
Neendein bisar karde

Janam janam ki preet lutati haye
Saiyan ke milan ko re

Paas paas bulawe
Raas raas rachawe

Piya ko manawe hai re..

Payelliyaan…. payelliyaan kahe ke. piya ghar jaaon

Raju phir se ladki ki taraf dhekne laga. Usne motiyon ki mala khuthi se utaar ke, pehn lee. Raju ne moti ke haar mein lagi locket ko dekha jo ki ladki ke blouse ke thik pehle hook ke upar latak rahi thi, tabhi “raam naam satya hai satya bolo satya hai” ki goonj aur bhi paas se sunayi dene lagi. Gana ab bhi chal raha tha

Payelliyaan…. payelliyaan kahe ke. piya ghar jaaon

Logon ka jhund ab shav ko lekar isi khidki ki taraf aa raha tha. Ladki un logon ki awaaz sunkar khidki ki taraf muri. Pocket maar ko laga ki shayad woh pakda jaayega isliye woh bhagne laga aur un logon mein se ek aadmi se takra gaya. Ladki ne awaz sunke apne ghar ka darwaaza khola. woh shav ko dhekhte hi ghabra gayi, Shav zameen par girne hi wala tha ki tabhi ghar ke bagal ki gali se ek fauji nikla aur shav ko girne se bacha liya. Weh log shav ko leke nikal gaye. Fauji ne ladki ki taraf dhekha aur ghar ke andar chala gaya. Ghar ka darwaza bandh karte hue Ladki hansne lagi. Bandh darwaze ke peeche Fauji ne ladki ko darwaze se satta diya aur uske hothon par ungli sehlate hue kaha “tumhara pati to sarhad mein shaheed ho gaya aur tum ek dusre aadmi ke saath, very bad”   

COOKER KI SITI
“Arre Munna… gas par zarra cooker chadhha de”, Sarfarosh ki awaaz sunkar Munna ne neend se uthkar paas rakhe cookeron mein se ek cooker uthakar gas par chadhha diya aur maachis dhundne dusre kamrein mein gaya. Issi dauraan bathroom se nikalke Kaif rasoi ghar mein apne cigarette ke liye maachis dhoondne gaya. Use bhi machis nahi mili. Rasoi ghar ke nikalte waqt uski nazar gas par chade cooker par gayi. Cooker ke andar dekhke woh muskuraya aur Sarfarosh ko rasoighar mein bulaya. Sarfarosh cooker ke andar dhekhke chilla para “ Abe bhain ke laude madar chod marwayega kya saale…. Munna …Munnaa, abe RDX se bhara hua cooker gas pe kyun rakh diya suaar ki aaulaad…” Munna ne bhaagte hue rasoighar mein ghuskar Sarfarosh ki laal aankhon ko dekha. “Abe jahan se laya tha wahan ek aur cooker chawal aur paani se bhara hua tha woh gas par chadhana tha” yeh kehkar Munna ne dekha ki wo nange pair hai toh Kaif ke taraf isshara kiya ki wo apne chappal se Munna ko mare. Isse pehle ki Kaif chappal utaarke Sarfarosh ko deta,Munna wahan se bhag chukka tha aur Sarfarosh uske peeche chappal lekar bhaag raha tha.Yeh dhekhar Kaif zameen mein bhaithkar zor zor se hasne laga

“Maa maa nahi… main yahin thik hun bister ke neechein”, “ Kaif kuch nahi hoga.. pataake hi toh hain beta aur kuch phool jhadiyaan. Kundan laya hai. Ja beta tere saath woh patake jalana chahta hai. Mera sher beta hain na. Aa bahar aa ja”  Kaif ki maa ne use bister ke neeche se ghaseet kar nikala. Kaif ko diwali ka tyohaar kabhi bhi pasand nahi aata tha. Agar koi use zabardasti phooljhadi pakada deta tha toh ek haath se kaan dhak ke chalata tha. Maa use kamre se bahar barande mein le ayi. Kundan Kaif ko haath pakadke saamne ke maidaan mein le gaya. Wahan har koi Diwali mana raha tha. Kundan ne Kaif ko ek  jalti hui phuljhadi thama di. Issi beech wahan par ek kaali jeep se goliyaan barsate hue kuch aatankwadi aa gaye. Kaif ne dhekha kuch goliyaan uske ghar ki taraf chali aur kuch goliyan maidan ki taraf. Usne apne haathon se dar ke mare apne aakhein band kar leen. Aakhein kholi toh uske haathon mein khoon tha. Usne ghabrakar idhar udhar dhekha, Kundan ko goli lagi thi. Uski khoon ki chheethe uske haathon par thi. Woh bhaagte hue apne ghar ki taraf gaya. Uske saare gharwale ab khun mein lipte hue the. Kaif ne muhalle ke bahar tak us jeep ka peecha kiya. Jeep se abhi bhi atankwaddi goli chala rahe the. Un logon ne jab Kaif ko aate hue dhekha toh ek atankwaadi ne uspar bandook tani. Doosre atankwadi ne bandook chheen li aur jeep wale ko raftar kam karne ko kaha. Kaif ka fasla jeep se kam hota gaya. Iss atankwaadi ne use god mein utha liya. Jeep mein andhera hone ke wajah se Kaif iss atankwaadi ki shakal nahi dhekh paya, par apne nanhe haathon se poore zor se use maarne laga.

“Haan bhai kahan kho gaya, chal uth aur lag ja kaam pe. Bhaijaan aaj hi aane walein hain, ek 
baar woh sab ok kar denge toh humara kaam pura ho jayega. aur sun pehli baar aa rahein hai, pata thik se likhwa diya tha na?” Khaif ne haan bhari “Bhaijaan, aap taye samaye se pehle aa gaye,  bhaijaan aaiye aap to chaar baje aane wale the, ye do baje…?” “Toh kya hua. Bas aa gaya…” Tabhi Munna ek plate ghosht leke aya “Bhaijaan cooker mein chawal chadha diya hai. Jab tak teen siti maare tabtak  lijiye khuch muh theeka kijiye, kaam ke baad toh muh meetha karenge” Munna zor zor se hasne laga yeh dhekh Sarfarosh ne uske pichwaade pe ek laath mara. Bhaijhaan ne mutton ka ek tukda chakha. 
Sarfarosh ne Bhaijan se kaha “Bhaijaan, Kaif aaj kal bahaut khoya khoya rehta hai…” “Kyun bhai, kya hua? Mohabbat wagere ka chakkar toh nahi hai. Woh saala hum attankwaado se bhi kaufnaak hota hai. Suno, mohabaat karna hai toh bas apne mulk se karo, aur apne mulk ko mohabaat jatana tabhi mumkin hai jab dusre mulk ko uske saamne neecha dhikhaya jaye, isiliye hum jitna khauf paida karte hain humara mulk aur taqatwar hota hai, kya smajhe. Barkhurdhar apne mulk se mohabaat karo baki sab bekaar hai, kyun Sarfarosh?” “ Ji Bhaijaan”, “Apne mulk se mohabbat karte ho toh uske liye jaan bhi do, aur zarroorat pade toh jaan lo bhi…” Munna ne bina kuch samjhe TV chala di aur usmein gana shuru ho gaya. Isse pehle ki Sarfarosh kuch bol payein, Bhaijaan ne Sarfarosh ko chup kara diya aur TV dekhne lage.

Babuji dheere chalna, pyaar mein zara sambhalna,
haan bade dhoke hain, Bade dhokhe hain iss raah mein, babuji dheere chalna

Kyun ho khoye hue sar jhukhaye, jaise jaate ho sab kuch lutaye,
yeh toh babuji pehla kadam hai, nazar aate hain apne paraye
…haan bade dhoke hain iss raah mein, babuji dheere chalna…

Tabhi Bhaijaan ne Sarfarosh ko ishare se kaha ki darwaaze par koi hai. Sarfarosh ne dheere se jaakar darwaaze ko achanak khol diya toh dekha ki woh pocket mar Raju hai. Uss mohalle se bhagte hue wo iss ghar ke aangan mein chhupke bhaitha hua tha. Woh inki saari baatein sun raha tha. Darwazza khulne par woh kamrein ke andar zameen par aa gira, “Kaun hai be tu kya sun raha tha” “khuch nahi woh woh…” Sarfarosh ne uske peeth par ek laath mari. Teen din se khuch kahya nahi tha, khali pet laath khaake uski nazar plate pe pade haddiyon par gayi. Tabhi ek aur laath uske peth ke daayin or padi toh woh khade hokar cheekha“ bhadwe saale haram khor” kehkar wahan se bhaga. Sarfarosh aur Munna bhi uske peeche bhaage. Bhaijaan sar pakadke bole“ Kyun faltu ka sab ladai karte hai , abey ab toh maar hi dalenge us ladke ko, kabhi bhi taqatwar par chadne ki koshish nahi karni chahiye. Agar woh thuke toh chaat leni chahiye, kya zaroorat thi us ladke ko gaali dene ki…” Kaif Bhaijaan ki taraf dhekh raha tha ki tabhi gas pe chade cooker ne siti maari. Us awaaz se Kaif ki nazar bhaijaan se hatke paas pade RDX bhare cooker par padi, usne Bhaijaan ke sar par de mari. RDX ke kuch tukde khoon mein rangte hue zameen pe gire. Bhaijaan wahin dher ho gaye.

Raju bhaagte bhagte thak gaya tha. Use raste mein ek paani ki tanki dhikhayi di, usne jaldi se uska nal khola aur paani se apna muh dhone laga. Thoda sa aur dur jaake woh ek chai ki dukaan ke paas akar khada hua , usne ek cup chai mangi, usne adhi gilaas pee hi thi ki peeche se Sarfarosh aur munna aa gaye, usne chai ki pyaali wahin chodi aur bhagne laga. Chai wale ne peeche se pukara. Raju ruk gaya. Pata nahi aisa kya hua ki uske andar ka zameer jag gaya. Usne bina soche batua wahan chor diya aur bhag gaya, Sarfarosh aur munna bhagte bhagte iss dukaan ke paas akar ruke usne chai waalein se batua manga, chai wale ne batua dete hue kaha “ kya chutiya insaan tha batua pura degaya… Maine batue se apne paise le liye hain..” Sarfarosh batua lekar bola “Mera batua hai, leke bhag raha tha…” Kehte hue woh wahan se chala gaya. Munna ne Sarfarosh se batua lekar dekha toh uske ek pocket mein kuch paise the aur doosre pocket mein ek tasweer…

JHADOO WALI
Pocketmar bhaagte hue ek gali mein ja pahuncha. Itna bhagne ke baad woh ek jagah pet pakad ke bhaith gaya. Wo zindagi mein itna nahi bhaga tha jitna ki aaj bhaga. Zyada bhagne se uske pet mein dard shuru ho gaya tha. Woh haphne laga, sham ke chaar baj gaye the, Raju ki saans abhi bhi phool rahi thi. Uski kismat achi thi ki gali mein koi nahi tha. Woh phir se khada hoke chalne laga. Uske paas ab woh batua bhi nahi tha, bhook bhi lagi thi. Usne nazar daurai toh samne ek makaan nazar aya. Pehle maale ka darwaaza khula tha, woh chup chaap seediyon se chadhkar us makan mein dhakil ho gaya darwaza pehle se thoda sa khula hua tha, kamrein ke bister mein ek aadmi leta hua tha. Uss admi ko laga ki koi andar aaya hai, jaisi hi usne qarwat badli tabhi Raju bister ke neeche chhup gaya. Usse laga jaise darwaza pe koi tha ki tabhi uski nazar darwaaze ke bahar kamrein mein roz jhadoo marne wali Kajri par gayi. Woh kamrein ki taraf aa rahi thi, ussi waqt bister ke neeche Raju ki nazar bhi darwaaze ke bahar Kajri par gayi, sawlan rang, ghutno tak laal rang ki saari, pairon mein paayal, hare rang ki blouse, garib hone ke karan blouse mein do button  toote hue the, saari ka palloo bhi garmi ke karan pure blouse ko dhak nahi raha tha. Raju blouse mein aadhe chhupe hue itne bade waale kabhi nahi dhekhe the. Uski nazar uski chhati par likhe panktiyon par gayi jo aadhi nazar aa rahi thi aur aadhi blouse ke andar chupi hui thi ‘ haan maadarzaat….’Kajri ab kamrein mein dhakhil hui, paas wale chhath par Gangu ne apne ghar naai ko daari banawane ke liye bulaya tha. “ Aa bhai Guutu yahan bhaithte hain. Zara woh charpai par rakhe radio chala dena, thoda tez kardena awaaz….” Idhar kamrein mein Kajri ne jhaadoo lagana shuru kiya. Bister par leta aadmi uth kar baith gaya, woh taktaki lagaye Kajri ke blouse ke andar nazar daurata gaya. Kajri ki chhaati par likhi panktiyon par bahaut bar uski nazar gayi par aaj tak fark nahi pada, woh har din Kajri ke blouse ki taraf dhekhta tha, Kajri kuch bhi kehti toh uske taraf dhekhta  aur phir uski nazar neeche phisal jaati, jaise aankoh se hi chhed kar dega Kajri ke badan ko… Tabhi Gangu ke radio mein Jagjit Singh ka gana bajne lagta hai.

Jhuki Jhuki see nazar bekaraar hai ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ke naheen

tu apne dil ki jawaan dharkanon ko gin ke bataa
meri tarah teraa dil bekaraar hai ke naheen

Raju bister ke neeche se  Kajri ko jhadoo marte hue dhekh raha tha, Raju ka rang kaala hone ke wajah se bister ke neeche aasani se chupa hua tha… Tabhi uski nazar bister ke saamne lohe ki almaari par lagi aaine par gayi, bister pe bhaithe hue aadmi ka pratibimb usmein nazar aa raha tha. Raju jaan gaya ki bister par leta aadmi ab bhaith gaya tha aur kis shareefo waali nazaron se kajri ki tarf dhekh raha tha. Uss aadmi ne apne shirt ke button khol liye the aur apne haathon se apne chaathi ko sehela raha tha. Yeh sab harkhate Raju aaine mein dhekh raha tha, Kajri abhi bhi jhaadoo mar rahi thi, aadmi ne paas pade gilaas ko zameein mein gira ke kaha “Kajri… zara…idhar bhi jhadoo maar de… Kajri uss aadmi ke taraf dekhke muskurai.  Is baar Raju ki nazar Kajri ke chehre par gayi. Kajri ke chehre par halki hakli daari ugi hui thi. Raju ne yeh dhekh kar apni aankhein band kar liye. Kajri ab bister ke paas ayi, aur sheeshe ke tukde zameeen se uthane lagi. Woh ghutne ke bal phir se bhaith gayi. Raju ki nazaar ab Kajri ke nange ghutno ki taraf gayi. Zahir si baat hai pairon pe baal nahi the aur ladki ke pairon ki tarah lag rahe the, usse bada man hua usse chhune ka, ki tabhi Kajri gilas uthake khadi ho gayi aur bister par bhaith gayi, aur apne pair latkake hilane lagti hai. Uski payal ki awaaz uss kamrein mein chhaye sannate mein background score ka kaam kar raha tha, Jagjit Singh ke gaane ke saath…

wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hotee hain
us ik pal kaa tujhe intazar hai ke naheen

Raju phir se aaine mein dhekhne laga, usne subha se ek boond paani nahi piya tha par pata nahi kahan se uske muh se laal tapakne lagi. Kajri us aadmi ke badan ko apne haathon se sehla rahi thee. Uss aadmi ne Kajri ke gardan par kaanpte hue haath rakha, tabhi Kajri uss admi ko apne bahon mein lekar  kas ke pakad liya. Raju ke andar ab tak aag lag gayi thi, uski nazar almari ke pas do bhaisakhi par gayi. Woh apne aap ko aur sambhaal nahi pata hai, woh bister ke neeche se bahar nikla aur bhaisakhi utha ke us aadmi ke sar par zor se waar kiya. Aadmi behosh ho gaya. Uske usne kajri ko dekha. Uske daari walein chehre ko der tak ghoora. Kajri bhi Raju ko dhekhta raha, Raju jor jor se hafne laga. Usne Kajri ke blouse ki taaraf dekha, woh apne aap ko sambhal nahi paya aur dono haathon se blouse ko phaad diya. Kuch der tak Kajri ke nange badan ko dhekhta raha. Ab use uske chhati pe likhe poori panktiyan padne mein aa rahi thee. ‘Haan maadarzaat yeh wahi hai jo tere maa aur bahan ke paas hai’ Raju thodi der ke liye chup chap khada raha, jaise kisi ne bahaut bada raptaa mara ho, uski maa thi nahi aur bahan ko samaj walon ne paida nahi hone diya tha… Aur phir Raju kehta hai “ Tu jhaadoo saaf karne ke liye marti hai ya… maaila karne ke liye…” kehkar wahan se baag jata hai.

COOKER KI SITI
Sarfarosh ne wapas ghar jate hue us tasweer ko batue se nikala. Ek black and white picture jismein Bhaijaan beech mein bhaithe the, godi mein Kaif tha, ek tarf sarfarosh bhaitha hua tha, dusri taraf dusre bache bhaithe hue hain, munna haske bola “ Bhai aap kitne chothe lag rahe hain, kab ki tasweer hai ye?” “abe us samay chotha tha toh chotha hi hunga na, aise fold hoke toh paida nahi hua tha…” Sarfarosh apne haath se apne aap ko napte hue kahata hai “kab ki hai?” “ Pachchis saal purani, jab bhaijaan ki batteeswi saal girah thee, toh hum logo ko saath tasweer khichwaya tha. Aaj jo bhi hain bhaijaan ki wajah se hain warna main saala kahin pada hota sadak ke kinaare.” “Aur god mein Kaif?” “ Haan issko humne bhaijaan ke iss janamdin ke ek saal pehle Diwali mein ek mohalle se uthaya tha…” “Toh iss pocket maar ko bhaijaan ka batua kahan mila?” “Pata nahi shayad jab Bhaijaan idhar aa rahe the tabhi churaya hoga, aur kismat dekh woh bhi yahin aa pahuncha,” “Hmm kya itefaaq hai, chalo ghar jakar bhaijaan ko batua wapas karte hain…..”

CHOCOBAAR
Raju uss kamrein se nikalte hue seediyon se utarkar bhagne laga, uski aankhon ke samne abhi bhi Kajri ki chhati par likhe hue panktiyon aa rahi thi. Use laga ek baar toh Kajri ko bahaon mein le lena chahiye tha, pata nahi use uss samay kya hua ki who wahan se bhaag aaya. Raju yeh sab sochte sochte raaste mein chalne laga, daurna bhool gaya tha. Usne phir socha ki wapas ek baar jaye ki tabhi peeche se ek bike waale ne use mar diya, woh raaste ke paar jakar gira. Uske ghutno mein chot lagi hui thi, behoshi ki halath mein usne dhekha ki jis bike ne usse mara tha woh ek aurat chala rahi thi…

“ Kaisein hain bhaisaaab. Maaf kijiyega, dhekhiye galti phir bhi aap ki thi, aap beech raastein mein chal rahein the, main ghabra gayi aur brake nahi laga paayi” Raju ne bister se uthne ki koshish ki toh wapas bister mein gir para..” “Dhekhiye aap abhi chal nahi payenge do din se aap behosh the, main ghabrakar aap ko ghar le aayi, police ke chakkar se bachne ke liye, doctor ghar pe aakra hi patti kar ke gaye hain, par ek - do din aur araam karna padega. Uske baad aap chal sakenge..” Tabhi wahan ek chothi si bachchi bhagte hue kamrein mein ayi “ Uncle theek ho gaye?” Raju ne iss bachchi ko dekha. Use muskurata dhekh Raju ko bahut acha laga, “ Mummy woh ice cream wala aa gaya hai aaj toh ek ice cream dila do?” “Nahi beta mahine mein sirf ek baar, tumhe pata hain na beta….jao ab” Bachchi muh latkaye chali gayi “Kya hua ek ice cream hi maang rahi thi” Raju ne poocha “ Darasal usko doctor ne meetha kam khane ko kaha hai, usko diabeties hai, jyada meetha khayegi toh beemar pad jaati hai, kabhi kabhar behosh ho jati hai,” Raju ne kaha “Par maine suna hai ki yeh bimaari bahaaut khatharnaak hoti hai aur iss umar mein yeh hona?” “Khatharnaak tab hoti hai jab zyada ho jaye, issiliye isko meetha khane se mana kiya hai, par bachchi hai dusre bachchon ko dhekhthi hai toh man toh uska bhi karta hai”. Agle din Raju khidki ke paas bhaitha tha ki tabhi woh ice cream wala phir se aya. Uske kamrein mein woh bachchi  bhi ayi. Khidki ke bahar ice cream wale ko dhekh kar wahin khidki ke paas khadi ho gayi. 

Wahan bachchon ke intezaar mein Ice cream wale ne jeb se ek chotha sa radio nikala aur use on kar diya. Radio mein Gharonda film ka gaana baj uthta hai

tumhe ho naa ho mujhko to itnaa yakeen hai
mujhe pyaar tumse nahin hai nahin hai

Raju ne kamrein mein khadi bachchi ki taraf dekha. Use bada man hua us ladki ko ice cream dilayein par… “ Uncle mujhe chocobaar bahaut pasand hai….” Bachchi yeh kahakar apni chothi ungliyon se khidki ke paas deewar par lakeerein khichti rahi.

mujhe pyaar tumse nahin hai nahin hai
magar maine ye raaz ab tak naa jaanaa

Raju ko bahaut bura laga, usne apni  jeb tatolin toh kuch nahi mila. Bhaijaan ke batue mein se ek kaagaz ka tukda jismein ek ghar ka pata tha woh nikala, Raju ko phir se uss ghar mein padi laatein yaad aa gayi. Wahan pe uske bachpan ka dost Kaif tha, jab Raju ne batua Bhaijaan ke pocket se churaya aur bhag ke kisi jaga chup gaya, toh usne wahan bhaithkar Bhaijaan ke batue ko khola tha, usmein se use ek tasweer mili thee aur ek kagaz ka tukda. Usmein usne Kaif ko pehchan liya tha. Raju ka asli naam Kundan tha, jab bachpan mein goli lagi thi toh woh behosh ho gaya tha, police walein baad mein usse aspatal le gaye, wahan usse yaad hain doctor ko uska naam nahi pata hone ke karan usse Raju Raju kehne lage, tab Kundan ko bhi yeh naam acha laga. Behoshi se wapas aane ke baad usne sabko yehi naam bataya.Raju kagaz ke tukde pe likhe hue pate par pahuncha jahan Sarfarosh, Kaif aur munna rehte the, Jab Bhaijaan ko guste hue dhekha toh woh bhi chupke se deewar ke paas khada ho gaya aur unki baatein sunne laga.

Ice cream wala abh bhi khada hua tha khuch bachche aa gaye the iss dauraan, par bachchi abhi bhi  ice cream wale ke thele mein latki hui chocobaar ke paket ko dhekh rahi thi. Raju bachhi ki aur muda to bachi bhi Raju ki aur dekhke kaha “Chhi! Achhi nahi hai ice cream, main toh badi ho gayi hun ice cream to bachche khate hain, mujhe nahi achi lagti, uncle aap khaoge chocobaar? khao na… agar man hua toh thoda sa mujhe dena…… par thoda sa dena mujhe, waise achi nahi lagti hai chocobaar” kehte hue woh phir se  chocobaar ke packet ki taraf dhekhne lagi.

main kyun tumse milne kaa dhoondhoon bahaanaa
kabhi maine chaahaa tumhe choo ke dekhoon
kabhii maine chaahaa tumhe paas laanaa

Raju ki bebasi ab chehre par dhikhayi de rahi thi, kya karein woh , nah toh paise hai uske paas, nah woh uss bachchi ke maa se maang paye , kyunki phir woh mana kar degi….

Do din baad Raju ab chal fir ne laga, usne jab shaam ko ice cream waalein ko dhekha toh chupke se bachchi ko godi mein uthaya, aur ice cream walein ke paas le gaya, “ ek chocobaar dena” Raju ne bachchi ki taraf dhekha woh thoda dari hui thi, who bar bar apne ghar ki taraf dhekh rahi thi kahin maa na dhekh le, issi dauraan ice cream wale ne Raju ko ice cream pakdaya, Raju ne ice cream li aur bachchi ko lekar bhag gaya, paas mohaalle waalein chillane lage, ice cream wala chillaya, chor chor kehkar, bachchi ki maa ghar ke bahar aa gayi aur chillane lagi ki uske bachchi ko le gaya, Raju bhagte hue gali ke bahar aaya aur bachi ko godi se utara, ice cream thamai aur kaha “beti paise nahi the mere paas isliye yeh sab karna pada, ice cream itni bhi boori nahi hoti ki ek mahine mein do baar na khaya jaye” Raju ne bachchi ke mathe ko chuma aur bhaag gaya.

P.S. : song lyrics used in the story has been taken from various hindi films just to depict the mood.