Sunday, August 3, 2014

GHOSH STORIES

Platform

“Uff! sham ko bhi kitni garmi hai, signal abhi bhi laal hai. Pata nahi hara kab hoga” Bikram Ghosh, Mizapur ke rehne wale the. Wo peshe se station master the aur peechle chaar saal se Howrah station mein kaam karte the. Ab Mizapur ke station mein tabaadla lekar wapas jaa rahe the. Mizapur ek chota station tha aur wahan unhi logon ko bheja jata tha jo shaadishuda nahi hote, kyunki wahan jagah ki thodi tangi thi, isliye railway quarter ki jagah platform mein hi station master ke kamrein se laga hua ek chota kamara banaya gaya tha, wahin Bikram Ghosh ke rehne ki waiwastha ki gayi thi.

Dusre din se hi Bikram ko yeh lagne laga ki, yahan sabse jyada maatra mein jo cheez milti thi woh thi boriyat. Bikram Ghosh ke aelawa yahan ek chaiwala aur ek railway sahayak Roku hi tha. Chota station hone ke wajah se koi train rukti nahi thi. Kisi ko utarna ho toh train ki chain keech deta aur utar jaata, yahan train ki awajahi kam hoti thi toh platform mein bhi hulchul na ke bararbar hi thi.

‘Do din baad’

Beeti raat kuch aisi ghatna ghati ki Bikram uske baad se thoda soch mein pad gaye the. Hua yun ki waise to station mein sanatta pehle jaisa hi tha, akhri train ko jhandi dhikhane ke baad Bikram ne kamrein mein jakar angraian lete hue socha ki aaj ka kaam toh nipat gaya hai, ab araam farmaya jaye, ki tabhi chaiwala aa dhamka, “Bikram ji chai lenge thodi si bachi hui hai, agar aap yeh chai ka akhri pyaala le lenge toh main bhi ghar chala jaaonga” Bikram ne ghari mein samaye dhekha. Saare barah baj rahe the. Bikram ne chai ka glass usse liya aur saath wale kamrein mein chale gaye jahan woh rahte the…..thodi der mein ek tez rafter train platform se guzarne lagi, andazaan 180 kilometre prati ghante ki raftaar se, Bikram apne bister mein bhaithkar kitab padte hue chai ki chuski le rahe the, train ki awaaz sunte hi unhone kitab bister par rakhi aur sochne lage iss samay par toh koi train guzarne ki baat hai nahi, aur guzar bhi rahi hai toh jab tak woh hari jhandi nahi dhikahyenge toh train platform se guzar kaise sakti hai.. Bikram bhag kar apne kamrein ki chaukhat par aakr kahde samne platform ka nazara dhekhte hain, unki aankhein pahti ki pahti raha jati hai.

Roku us train ko hari jhandi dikha raha tha aur chaiwala chalti hui train mein lapak lapak kar chai bech raha tha, yeh nazara dhekh kar Bikram sochne lage bhala 180 kilometre prati ghante ke raftar se chalne wali train mein chaiwaalein ko kya nazar aa raha tha? aur woh us chalti hui tain mein chad kaise raha tha ?, aur wapas apne kamrein mein chale gaye ke tabhi kisi ne peeche se Bikram ke khandhe par haath rakha, jab unhone ghabrakar peeche dhekha toh chai wala khada tha “saab chai ke paise” Bikram ka pura shareer kaanp raha tha, unhone kisi tarah pocket se batua nikala aur paise de diye, woh wahan se chala gaya, saamne pade paani ke gilas ki taraf Bikram ne jaise hi haath badaye to laga ki ek aur train station se guzar rahi thi, woh turant bahar gaye …aur iss baar bhi wahi nazaara tha …

Bikram ne agle do din railway ke bade adhikariyon se baat-cheet karne ke liye bahaut baar phone ghumaya, par asafalata hi haath lagi. Do din se wahi chai wala unhe chai bhi pila raha tha, aur raat ke nazare mein bhi koi parivartan nahi tha, Aise hi ek raat ki hi baat hai Bikram apni kursi par bhaithe akhri train ke platform par aane ka intezaar kar rahe the ki achanak unke kamrein mein Roku aa dhamka, Bikram Roku ko acahnak apne kamrein mein dhekh kar hadbadi mein kursi se neeche zameen par gir pade. Tabhi unki nazar uske pairon par gayi, unhone socha ki bhooton ke pair ulte hote hai. Par iske toh pair seedhe the!, toh yeh bhooth toh nahi ho sakta wo yeh soch hi rahein the ki Roku ne poocha “saab aapko chot toh nahi lagi?” Bikram abhi bhi ghabraye hue the aur iski wajah se unka gala bhi suukh raha tha, Roku ne phir poocha “ aap khana abhi lenge ya baad mein?” Roku ke sawal ka Bikram ne koi jawab nahi diya par ek aur sawal khud kar bhaithe “raat ko 180 kilomtre prati ghante wali train ko jhnada kaun dhikhata hai?” Roku yeh sun kar zor zor se hasne laga, Bikram ke paseene abh bhi choot rahe the “aji saab pehle aap yeh toh sochiye jo banda 180 kilometer ki raftar se train chala raha hoga, kya woh train se hari jhandi dhekh bhi paya tha? nahi na…” Roku Bikram ki shakal dhekh kar phir se hasne laga.”toh phir” Bikram ne phir poocha “saab woh jhanda dhekh paya tha kyunki jhanda dhikhane wala bhi bhooth tha aur woh train bhi bhootiya hi thi” bolke woh phir se hasne laga…. Bikram kuch bole uske pehle hi Roku ne phir kaha “darasal saab aapke pehle mera judwa bhai jo hubabu meri tarh dhikne mein tha wo yahan station master tha” “acha yeh baat hai…tumhare bhai ki maut kaise hui?” tabhi chaiwala wahan aa jata hai aur Bikram phir se ghabrake kursi se gir padte hain….

Roku
“Panch din se yeh jo naye station master aye hai, mujhe ekdum pasand nahi…. Chotha sa toh station hai iske liye phir se ek station master! Sare kaam toh main hi nipta raha tha abhi tak, phir inki kya zarroorat. Par yeh thoda ajeeb sa hai, kal ki hi baat hai, dar toh aise rahe the bhoot ki baaton se jaise unke liye koi nayi cheez ho. Matlab jab main unke kamrein mein gaya yeh poochne ki khana aap abhi khaoge ya akhri train ko hari jhandi dhikhane ke baad.... toh maine dhekha bhaisaab apni kursi samet deewaar par tange hue hain, aur mujhe dhekh kar ghabraa kar kursi se niche gir pade, hala ki kursi abhi bhi deewar par tangi hui thi. Main bhi ghabhra gaya, maine phir bhi unke sawaalon ka jawab diya, har sawal jawab pe unki aankhon ki putliyan laal ho jati aur phir kaali. Bhala aisa bhi kabhi hota hai, meri aankhon ki putliyan toh kisi ki baat sunkar laal nahi hoti, haan hari zaroor ho jati hai.

Buri Aadat

“Maa mere jootein kahan hai, yahin toh rakhe the maine,” “ are yahin kahin honge, kitne baar bola hai ki jooton ko joote ke rack mein rakho, par nahi, sahab toh bus apne hi dhun mein rahte hain, “ “abhi taane mat do bolo mere jootein kahan hai…maa o maa kahan chali gayi….”

Usi raat ko achanak dhai baje Raghu ki neend khul gayi, use yaad ayaa ki uske jootein store room mein pade hain. Raghu ka kamra dusri manzil par tha, aur store room pehli manzil par. Ghar ke andar se hi seediyan neeche wali manzil pe jati thi, Raghu ne kuch socha aur phir dabe pao se seedi utarkar store room mein chala gaya, idhar udhar dhekne par usse apne jootein mil gaye jo neele rang ke the. Woh unhe dekh kar khush ho gaya, usne jootein pehane hi the ki.. uski cheekh nikal gayi…..Raghu ki maa cheekh sun kar achanak se uthi aur apne pati ko jagaya. “tumhe cheekhne ki awaaaz sunayi di ?” Raghu ke pitaji ne neend mein kaha “haan sunai di,“ “shayad store room se aa rahi hai” Raghu ki maa ghabraa kar boli. Raghu ke pitaji thoda chidke ke bolein “theek hai tum chalo main aata hun,” “Raghu ki maa bhagte bhagte store room ki taraf ja rahi thi, Raghu abhi bhi wahin bhaitha hua tha uske pairon se khoon nikal ke store room ke pharsh par phail gaya tha, Raghu ki maa store room mein pahaunch te hi khoon bhare pharsh par phisal gayi, magar woh jhat se uth bhaithi aur Raghu ke pairon se khoon nikalta dhekh rone aur cheekhne lagi. Raghu ke pitaji bhi peeche peeche bhaghte hue aaye aur store room mein Raghu ki maa ko rote hue paya “kya hua Mandakni kya hua? ro kyon rahi ho?..” Raghu ki maa ne uske pitaji ke taraf dheka aur cheekh kar boli “dhekho Raghu ke pairon se kitna khoon nikal raha hai…” Raghu ke pitaji ne apna sar phir se cheedh kar hilaya aur apni patni ke sar ko pakad ke kaha “Mandakni kya bol rahi ho khoon to tumhare sar se nikal raha hai, na ki Raghu ke pairon se, yeh dhekho,” “par kaise?” Mandakini hosh mein aao Raghu chaar saal pahle mar chukka hai, thak gaya hun main tumhari yeh sab harkate dhekh kar…” “par tumne toh kaha tha ke cheekh tumhe bhi sunayi di hai?” “kya karun ab nahi sunne ke bawajood bhi bolna padta hai, warna tum ladai karna shuru kar deti ho….” “papa aap phir se store room mein bhaithe ho, aur apne aap mein badbada rahe ho, aapko mana kiya tha na yahan aane se,..?” “main kahan aaya, yahan teri maa zabardasti mujhe yaha khinch ke le aayi, kaha Raghu ki cheekh sunayi de rahi hai, maine kaha Raghu chaar saal pehle mar chukka hai par phir bhi nahi man rahi thi, keh rahi thi is jootein mein jung wale keel se Raghu ko chot aayi hai, jab maine kaha ki uske pairon se nahi tumhare sar se khoon nikal raha hai tab woh meri taraf hi dhekhne lagi jaise maine kuch galat kaha ….bol?” “Papa aap chalo apne kamrein mein.

“hello doctor main Raghu bol raha hun, its getting insane, har chauthe din papa ko ab attack aa raha hai, “ “ kya hua relax, ?” Raghu rote hue “main kya karun its been 15 years mom ki death ko, but he is still in that thing, har dusre din koi na koi purani situation ubhar aati hai and then he starts….” “ ok have some water and then talk to me” “15 saal pehle main jab hostel se wapas aaya toh ek din store room mein aise hi khuch doondne ke liye gaya, mujhe mere purane neele jootein nazar aaye, maine unmein se ek jootein mein pair rakha hi tha ki uske andar ek jung wala keel mere par mein ghus gaya. Mere cheekhne par maa kamrein se nikal ke aane wali thi par pitaji ke jootein jinhe bister ke neeche hona chahiye, pitaji ke buri aadat ke wajah se kamrein ki chaukhat par hi pade the, un jooton mein maa ka paair phas gaya aur woh wahin gir padi aur unka sar phat gaya jisse unki mauth ho gayi ….. yeh itna jaldi hua ki pitaji kuch samajh hi na paye, main bhi langdate hue khoon se sane pairo ke saath maa ki taraf aaya par bahaut der ho gayi thi.” “Raghu Ghosh I think you need to see a psychiatrist” “haan pata hai par papa taiyar ho tab na” “ look Raghu tumhe yeh maan lena chahiye ki for past four months tum mujhe yeh kahani baar baar bata rahe ho par tum yeh kyun nahi man na chahte ke in that incident jab tumahare mom ki death hui uss shock mein tumhare dad ki bhi death ho gayi thi, please apne aap ko sambhalo…

Gas

Mukund ki tabiyaat subah se thik nahi thi, baar baar sandaas jane par bhi tabiyat mein koi sudhaar nahi hua, aaj kaam par bhi jana tha. Mukund D.M. movers & Packers ke liye kaam karta tha aur aaj kisi ke ghar ke kirayedaaron ke samaan ek ghar se dusre ghar rakhwaana tha. “sahab aaj meri tabiyat thik nahi hai pet mein gadbad hai, aaj agar chuthi mil jaaye toh badi meharbani hogi.?” “are paas mein dawai ki dukaan hai wahan se hajmein ki goli leke kha le aur kaam pe lag ja, beta humari jaat hi aisi hai ki hum chuthi nahi le sakte, chal bhai jaldi kar” thekedaar ne kaha. Mukund ne paas wali dukaan se haajmein ki goli ka ek patta khareeda aur jeb mein rakh liya yeh sochkar ki jahan kaam ho raha hai wahan jaake paani ke saath dawai lega, par jaise hi woh wahan pahauncha toh thekedaar ne use kaam par laga diya, usse dawai lene ka mauka hi nahi mila….

“Aaj lagta hai garmi aur badegi,” Girish ne apne ghar se nikalte hue rumaal se paseene pocha aur kaha, Girish Ghosh ek wehmi manushya tha, woh har kaaam paachas baar sochne ke baad karta tha. Agar daftar bhi jana ho toh pehle yeh dhekhta ke din kaunsa hai, uss din ke hissab se woh hare, peele, kaale, ya neele rang ka rumal jeb mein rakta, billi agar raasta kaat jaye, toh raasta badal leta chahe usse jahan jana hai wahan der se hi kyun na pahunche, ek din toh bhaisaahb ne hadh hi kar di, usne kahin akhbaar mein pad liya ki uski raashi ke logon ke liye phalana kisi din mein laal raang shubh hai, bas fir kya tha bhaisaahab ne laal rang ki chaddi, baniyaan, laal rang ki shirt, aur kaale rang ki patloon pahan kar laal rang ke bus ke intezaar mein aadha din bus stand par hi guzaar diya, laal rang ki patloon unke paas thi nahi. Bhaisaahab jab office pahaunche toh table par kaali, hari, peeli, neeli aur baaki rango ki filon ko ek taraf kar diya aur boss ko bola main sirf laal rang ki filon par kaam karunga, boss ke wajah poochne par wo bola “ its lucky for me today, so I’ll not do any paperwork which are not in files with red colour” boss hasne laga aur bola par laal rang ki filein toh bahaut hain tumhare table par aur unmein kaam karte karte to raat ho jayegi aur zaroori kaam to un baaki ki filon mein hai, jinko aaj hi khatam karna zyada zaroori hai, par bhaisaahab na mane….

Aaj Girish ke liye peela rang acha hai, isiliye woh apne ek dost ke saath peele rang ke autorikshaw mein safar kar rahe the. Tabhi autorickshaw ek signal par ruka, aur uske phone par message aaya…

‘Hare hare baba kaaleshwar Naath
hare hare baba Kaaleshwar Nath,
paar lagaye sabko jab, maan le unko Ishwar Nath.,
hare hare baba Kaleshwar Naath
hare hare baba Kaaleshwar Nath…
zindagi mein jitna andhera hai
    ujaale mein badle kaaleshwar Nath’

iss msg ko delete mat kariye, forward kariye aur uplabdhi paiye

Girish message padne ke baad jaise hi usse forward karne jaye ki tabhi ek naariyal bechne wala inke auto ke paas akar nariyal bechne ki koshish karne laga, uske dost ne kaha “Girish nariyal kahyega” “nahi aur tu bhi mat kha, bhaisaahab aap aage jao” nariyal wala aage chala gaya toh Girish ne phir se kaha “tujhe nahi pata ki yeh naariyal kahan se laate hain?’ “nahi, kahan se?” “are shamshaan ghaat se, jo mritako ko chadhaye jaate hain, woh naariyal pehle dhote hain aur phir unhe kaat kar signal par bhechte hain, thodai na dukaan se laate hain, “yeh sun kar uska dost phir se auto ke bahar dhekhne laga , naariyal walein ne nariyal ke tukre BMW gaadi mein bhaithe ek aadmi ko bech diye…issi beech signal hara ho gaya, auto walein ko auto start karne se pehle bidi peene ki icha hui. Girish ne jab auto driver ko maachis jalate dekha to use yaad aaya ki shayad usne ghar par gas ka chulah band nahi kiya hai yeh soch uski bechani badne lagi, paas bhaithe Raghu ki koi bhi baat uske kaano mein nahi jaa rahi thi, use bas ek hi chinta khayi jaa rahi thi ki shayad ghar par… “bhaisahab auto wapas ghumao?” Raghu bola “ kyun” “ jo kehta hun woh karo” bees minute mein Girish ghar pahauncha, Girish jin seediyon se chad raha tha unhi seediyon se do majdoor Mukherjee babu ke ghar se dressing table ko niche le ja rahein the, unhe dhekte hi Girish bola “zara hatna bhaisaab” dono majdoor dressing table lekar wahin kahde ho gaye, Girish paas se nikalne laga ki issi beech mein usne apna pratibimb uss dressing table ke aaine mein dhekha, jo ki usse dhekh kar muskura raha tha, usse ajeeb laga woh thodi der khada raha, ki tabhi usse ghar jaane ki yaad aayi, woh wapas seediyan chadne laga aur phir ghar ka taala kholke tezi se rasoighar ki taraf bhaga, gas chullah pehle se hi band tha, uski jaan mein jaan aayi, usne fridge se paani ki bottle nikali aur paani peetein peetein balcony mein gaya, uski nazar neeche wali balcony mein gayi jahan do mazdoor ek almaari ko bahar railing se latka kar neeche bhej rahe the, usse yaad aya ki neeche wale floor ke Mukherjee babu apne naye makan mein jaa rahe the or unhi ke ghar mein shifting ho rai thi, woh thodi der ruk kar yeh sab dhekh raha tha, achanak Raghu ka phone aate hi woh ghar ka darwaza band karke phone pe baat karte hue seediyon se niche uttarne laga..

Is waqt tak Mukund ne dawai nahi li thi, jiski wajah se pet mein gas hone ke kaaran dard aur bad gaya tha, jisse usske haath se almaari se bandhi rassi chuth gayi aur almaari Girish par aa giri jo us samay building se nikal hi raha tha. Girish ke laash dekh kar Kaafi log jama ho gaye, ek majdoor ne mauka pate hi Girish ke haath se phone le liya…usne mobile dhekha jismein likha tha

‘Hare hare baba kaaleshwar Naath
hare hare baba Kaaleshwar Nath,
paar lagaye sabko jab, maan le unko Ishwar Nath.,
hare hare baba Kaleshwar Naath
hare hare baba Kaaleshwar Nath…
zindagi mein jitna andhera hai
ujaale mein badle kaaleshwar Nath’



Ek haweli

“Raka iss kamrein mein energy meter lagate hain shayad kuch mile,” Karan ne kaha. Raka, Karan, Utpal aur Pankaj chaar dost the, yeh chaaro milkar ek company chalate the jo bhooth preton ko purani haveliyon se, ya shrapith gharon se dhundte the aur unko mukti bhi dilate the. Mahine mein do aise kaam milne se unka gujara ho jata tha. “bhai yahan bahaut badboo aa rahi hai, mujhe ajeeb sa lag raha hai, ghutan si ho rahi hai, chal bahar chaltein hain” “boss, thand bahaut lag rahi hai, thodi daaru mil jaati toh,iss thand ke raat mein mazaa aa jata” “shhh shhh ek minute udhar maine kisi ko dhekha hai” Tabhi Raka walky talky par Pankaj ko dhekhne ke liye kehta hai. Thodi der mein Pankaj ki awaaz walky talky par sunai deti hai “Raka ek ladki hai, kaale rang ke kapdon mein, abhi yahin thi pata nahi kahan chali gayi…”Raka aur Utpal haveli ke dusre maale par the aur Pankaj ne iss ladki ko haveli ke pehle maale par dhekha tha.

“Bahut der ho gayi, baarish aane wali hai baadal bhi garaj raha hai” Pankaj ne kaha “haan bhai abhi thodi der mein kahin se ek kaali billi bhi nazar aa jayegi to aur bhi mazaa ayega.” Utpal ne haste hue kaha…“ do baj rahein hain yaar par neend nahi aa rahi, thodi daaru peetein hain” Karan ne bag se daaru ki bottle nikali, sabne thodi thodi pee li, thand ka mausam tha chaaro taraf kohrein ki chadar bichi hui thi, do khambe daaru ke kab inn chaaron ne khatham kar diye unko khud hi pata nahi chala, tabhi Karan ne apne bag se SLR camera nikal liya aur khada ho gaya “ab main photography karunga” “abe pagal ho gaya hai kya andhere mein kya aayega chor bhaith jaa, “Utpal ne kaha “ nahi, main jaa raha hun uss sukhe talaab ke paas“ “chal main bhi chalta hun “ Raka ne kaha. Dono talab ke paas gaye aur tasweerein kheechne lage aur unhone apni bhi ek do tasweere talaab ke paas kheechi. Raka ne Karan ki ek aur tasweer kheechni chahi aur camera ko apne ankhon ke saamne jaise hi rakha ki usi waqt us camera mein Karan ke peeche talaab ke dusri taraf wohi ladki nazar aayi jo kaale rang ke kapde pehni hui thi…usne tasweer kheech li aur Karan ko ishaara kiya. Karan jaise hi peeche mura uska paaon fisala aur woh talaab mein gir gaya, Raka bhi ghabrakar bina soche samjhe Karan ko bachaane ke liye talaab mein kood gaya.

“hi how was the trip. Bhooth wagera kuch mila madam. “ Raghu ne Deepika se poocha. Deepika Ghosh ek patarkaar hai aur paranomial research weekly column par article likhti hai, iss baar woh shehar se bahar thi. Shehar se kuch dur Raigarh namak ek jagah hai wahan pe gayi thi. “ khuch khas nahi par suna hai ki wahan ek purani haweli hai aur wahan har raat ek aurat kale rang ke kapde pehne hue ghumti rehti hai. “ toh tujhe dhikhayi di?” “nahi par suna hai kareeb paanch saal pehle chaar ladke gaye the wahan, iski khoj mein par agle din wahn unki laash mili thi. “ yeh kahani kaafi charchit hain logo ke beech, kehtein hai aaj bhi unki aatmayein wahan bhatakti hai.” “toh tune kya kiya” “maine socha thik hai ek raat guzaarke dhekhti hun, phir kya tha parso maine wahin raat guzaari par koi nazar nahi aaya.” Yeh kehkar Deepika chup ho gayi” “ kya hua” Tabhi Deepika ne kaha “par ajeeb si baat hai uss raat jab main wahn thi toh koi nahi tha par jab main puri haveli ghumne ke baad nikalne lagi toh… wahan ek talaab hai uske andar ek camera pada hua mila usmein kuch tasweerien thi.” “kya tha unme?” “sirf haveli ke tasweerin,  saare raat mein khichi hui, do teen toh tasweerien talaab ke paas ki thi, aur yeh dhekh” Deepika Ghosh ek tasweer dhikhati hai jismein woh haveli mein raat ko talab ke paas khadi thi laal t shirt aur khaki patloon mein.

Thursday, February 20, 2014

ZAMEER

Dopahar ke do baj rahe the. Kankinara ki galiyon mein, pichhli raat baarish hone ke kaaran, paani jam gaya tha, “Pakad saale ko! Pakad” Ramu paanwaale ne ek bhaagte hue ladke ki aur cheekha. Yeh ladka paanwale ki dukaan se choori lekar bhag raha tha. Yeh kabhi kisi ke ghar ki chhath se chhalaang lagata, toh kabhi kisi ke balcony se. Uske peechhe police bhi padi hui thi. Ab haal aisa hua ki jis gully mein woh jaa ghusa,us gully ke dono taraf makaan the, aur makaan mein hoti hain khidkiyaan. Idhar ab bhi police upar chhat se is ladke par bandook taane nishana laga rahi thi. Kisi ke paas itna samay nahi tha ki usse pakadwane ke liye madad kare. Issi beech ladka, gully mein kichad hone ke wajah se fisala. Apne aap ko bachane ke liye usne ek ghar ki khidki par haath mara, par asafalta hi haath lagi aur woh gir gaya. Idhar police ne iss afratafri mein bandook chala di. Jis khidki ke darwaze par ladke ne apne aap ko bachane ke liye haath maara tha us ghar mein ek aadmi aur ek aurat sambhog kar rahe the. Usne awaaz sunke khidki kholi aur tabhi police ki goli aakar uske sar pe aa lagi aur woh us aurat ke upar hi dher ho gaya. Aurat ki gori baahein khoon se lathpath ho gayin..

“Kya kar raha hai beta” Rathiraj Wadekar ne solah saal ke Madho se poocha “Nishana thik kar raha hun. Bada hokar main anna Wadekar Madho banunga” “Kai zaala…kaiko… …duniyaan mein aur bhi karne ko hai re baba…. kya karega….. sirf magajmaari hai issmein….. phir police ka lafda alag” “ kal naake par main jab vaijanti ko ice cream khila raha tha uski maa akar mereko peeche se chammaat maari sar par, aisa hota hai kya? Ice cream hi khila raha tha..kasmein nahi….aaj hi tapka daalta main us aurat ko par……” “Par kya ?” “mere paas bandook plastic ki thi na, isliye. Ek asli bandook lake dega na baapu”? “Haan, dunga laake, beta. Tujhe paida hi kiya hai iske liye…chal maa ko bol dopahar ka khana lagaye mujhe duty par jana hai…”Tabhi Madho ki maa ne chaarpai par khana rakha. Madho wahin bhaith kar roti ka ek tukda muh mein lekar phir apni bandook se nishana saadhne laga…“Maa kasam bapu, aisa nishana lagaunga ki che goli waalein pistol se aath goliyan marunga ekhi baar mein…..” Tabhi  ek goli ki awaaz Rathiraaj ko sunai padi. Paas rakhe Madho ki thali mein rotiyaan laal hoti gayin.Jis aadmi ne goli chalayi thi woh dikhne mein hubabu Rathiraaj ke jaisa tha. Copy… paste.. duplicate bhi sharma jaye.
Teen saal pehle
Goli marte hi yeh aadmi ek van mein baitha “Chal chal saale nikal yahan se, kaam khatham, aage se left le le…” “Par aage se left mein gaadi nahi ghusegi, boss… Right chalte hain..” “Abe saale jab tere usmein yeh bandook ki nully ghusa dunga na, tab gaadi ek baar mein na toh right jayegi aur na toh ek bar mein left…ek baar mein right left jayegi”. Van ke driver ne gaadi ko ek chhoti si gali ke andar ghusa di.Tabhi van ka tyre ek municipalty ke paani ki pipe ke upar chad gaya aur woh phatgaya “Abe saale yeh kya kardiya…. pura paani ka phuwwara chalu kar diya ..” “toh kya karta chal chod Mohan, bhag yahan se, yahan ruke toh phas gaye samajh….” Driver ne kaha. Mohan paask ek makaan ke andar chala gaya, wahan ek aurat bathroom mein naha rahi thi “Arre yeh paani ko kya hua. Abhi poore badan mein saaboon bhi laga hua hai. Maa! O maa! Paani kyun band ho gaya? Ab main nahaungi kaise!” Kehte hue usne bathroom ka darwaza thoda sa khola. Idhar Mohan apni bandook lekar issi ghar mein bathroom ke darwaze se satka hua tha. Jaise hi uss ladki ne darwaza khola, Mohan bathroom ke andar zameen par…. Ladki ghabra gayi.Mohan ne thoda muskurakar apne nazaro ko ladki ke jismpar dauraya. Ladki  apne dono haath se apne chathi ko sharam se chupa rakhe the, yeh dhekh kar Mohan ne apni nazar us ladki ke jism ke neechle hisse pe tika ke kaha. “Aur do haath chahiye yeh chupane ke liye?” Ladki ne sharma ke nazarein neeche jhukha lee, apne dono pairon ko bebasi mein ek dusre ke upar masalne lagi. Tabhi apne maa ki aahate kamrein ki taraf aate sunn ladki ne ghabrake bathroom ka darwaza bandh kar liya…” Arre beti, woh bahar municipal ka pipe phatgaya hai. Kisi kambakht ne apni gaari uspar chadha dee hai. Tu ruk main balti mein paani lekar aati hun…” Idhar bathroom ke andar ab Mohan is ladki ko achi tarah nihar raha tha “Dekh ladki, shaadi karle mere saath ab toh tujhe pura dhekh hi liya hai, ab kya sharmana”. Tabhi Mohan ke dusre saathi ne usse bahar se pukara. Yeh sunte hi Mohan ne bandook ladki ke gaal pe tika ke uske hothon ko kaske chuma, aur phone se ek tasweer kheench lee.. Aur jaise hi bathroom ki khidki ko pakad ke bahar kudne gaya, haath mein saboon hone ke karan bahar ki taraf gir gaya.
Agle din dophar ke chaar baje woh iss ladki ke ghar phir pahuncha. Ghar mein sab so rahe the. Ladki ghabra gayi aur usse jaane ko kaha. Mohan ne kaha ki woh ek shart par jayega, agar woh usse raat ko gali ke uss lamp-post ke paas mile jismein bulb nahi hai.Warna woh uski maa ko sab bata dega aur phone mein jo tasweer hai uska MMS bana dega.
Mohan ab har roz milta aur issi beech ladki se shaadi karne ka wada kiya “Lajjo kal mandir jaakar shaadi karenge”  Lajjo ki kalai Mohan ke haatho mein thi woh sharam se apna haath churwana chah rahi thee toh Mohan ne kaha “Dekh agar chhor diya na toh phir nahi pakdunga,” Mohan ab chhup chhup ke uske ghar bhi aane laga tha. Ek din Mohan ne usse apne taraf kheecha aur hothon ko chumte hue kamron ke khidkiyaan band kar lee. Agle din subhah jab Lajjo apni blouse ka hook laga rahi thi toh Mohan ne uske taraf dhekhte hue kaha.“Lajjo raat ko jo kaha tha, woh dimaag mein hai na… Bharosa karti hai na?” Lajjo ne haan kaha. Ussi din shaam ko Lajjo, apne ghar se gehne lekar, sheher ke bus stand mein Mohan ka intezaar karne lagi. Thodi der mein Mohan wahan ek kapdon ka bag lekar aya, “Sunn, yeh kuch kapde laya hun, pehenle” “Par kyun?” “Arre, kya pata tera koi peecha kar raha ho aur tere ghar walon ko bata de toh phir hum bhaag nahi payenge” Lajjo ne thoda socha aur phir bus depot ke bathroom mein kapde badalne chali gayi. Thodi der baad jab bhahar ayi… “Sunn, bus abhi saath baje nikalne waali hai. Main ticket leke atta hun. Tu yeh goli khaa le, kal raat ko jo kiya uske liye hai yeh dawai. Le le… bachcha nahi chahiye abhi mujhe.” kehkar Mohan ticket kharidne chala gaya.
Agle din subha Lajjo ki laash bathroom ke darwaaze ke paas mili, gehne wagera kuch nahi the, police ke postmortem se pata chalaki usski maut synide se hui thi.
Mohan ka ab yehi dhanda tha.Woh unn auraton ko faasta tha jinki shaadi hone mein deri ho rahi hoti thee. Unko behlata phuslata aur phir shaadi ka wada karke unko synide khilake unke gehne loot leta tha.Yeh kareeb do saal chala, police pakad hi na paaye. Mohan jis ladki ko faasta uska mobile lekar dusri kisi ladki ko faasta. Usse baat-cheet karta, phir jab dusri ladki ko maar deta toh purane mobile ko phek kar is nayi ladki ke mobile ko le leta. Police pakde toh kise. Aise bahaut din guzargaye, par ek din...Dopahar mein khana khake Mohan chhath par so raha tha, ki achanak ek awaaz se uski neend toot gayi, bandook ki goliyan jin khano mein rahati hai uske ghumane se jo awaaz nikalti hai zrrrrrr zrrr, uski awaaz... saamne charpai ke paas ek aadmi ko khada paya jo yeh awaaz apne bandook se nikaal raha tha. Usse dhekh kar tadaak se uth bhaitha… “ Mohandas Karamchand Gaa…” “bus bus iske aage mat boliyega ….” “Thakur Baldev Singh… teen saal pehle aur Chameli…kuch yaad aya….” Mohan ladki phaasne ke dhandhe se pehle Thakur Baldev Singh ka shooter hua karta tha, jab Thakur hookum karta woh kahe hue bande ko goli marta… Ab hua yun ki Thakur ke bahaut kaale dhande chalte the, isse kaafi dushman bhi paida hue, woh apne logo se inko marwata tha aur inko haveli mein dusre maale ke ek kamrein mein ek gupt jagah mein chupa ke rakhta, kisi ko kaano kaan khabar nahi hoti… uss roz Thakur ne pehle biwi ke dehant ke baad dusri shaadi ki. Pehli biwi se ek beti thi par wansh badhane ke liye beta chahiye tha. Jab bahaut koshish ke baad yeh pata chala ki biwi ko bachcha nahi ho sakta, toh usse maarna hi thik samjha usne. Apni biwi ko behla phuslake dusri manzil ke iss kamrein mein bulaya aur kahan “Maine panditji se poocha hai iss taqlif ke baarein mein. Unhone kaha hai ki uttar ke taraf ke kamrein mein agar yawn sambhandh banaya jaye toh bachcha ho sakta hai. Toh kal tum iss kamrein mein dopahar barah baje laal rang ki saadi pehen kar mera intezaar karna, uske baad main aaunga” “Par lal saari kyun?”“arre lal saari jab tum pehnogi toh mere andar sambhog karne ki talap aur bhi bad jayega” biwi yeh sunte hue sharma ke chali gayi.
Agle din subah
Thakur ne Mohan ko pehle hi apne iss yojna ke barein mein bata diya tha, Mohan bandook lekar thik uske ulti taraf ke makaan ke chath mein chup gaya Thakur ki biwi ko marne ke liye, usse yeh bata diya tha ki woh sirf laal rang ki saadi mein lipti hui aurat ko maarein, aur barah baje dophar ko tayar rahe. Mohan kareeb 11 30 baje chath mein pahaunch gaya tha. Iddhar Thakur ki biwi ko shakh hua. Usne pehle khud hi uss kamrein ki  jaanch padtal ki, phir woh dobara niche jaake dopahar barah baje lal saari pehnke dusri manzil chadke kamrein ke andar jaise hi ghusne lagi ki goli ki awaaz sunai padi. Mohan ne goli lal saari dhekh kar maar di par nishana chuk gaya tha aur Thakur ki biwi dar ke maare kamrein ke andar ghus gayi. Mohan ki goli Thakur ki biwi ko na lag ke samne kamrein ke khidki ke sheeshe ko bhed kar kamrein ke andar ki deewar par ghus jaati hai..issi beech Thakur goli ki awaaz sunte hi kamrein mein ghuste hi apni biwi ko zinda dhekh ghabra jata hai, ke tabhi jis deewar par goli lagi thi us deewar ke papdiyan nikal aati hai  aur usmein se mare hue logon ki kankaale nazar aa jati hai. Thakur ki biwi yeh sab dhekh kar apne petticoat se bandook nikalti hai aur kehti hai “aur tharki Thakur bata kya sulook kiya jaaye, maar diya jaye ya chor diya jaaye, saale tumpe toh pehli hi shakh ho gaya tha humein, saale pandit ne bola hai ki uttar ke taraf ke kamrein mein agar sambhog karein toh bachcha paida hoga …. harami maarne chala tha mujhe... kyunki main baanj hun, saala na mard to tu hai jo biradariyon ko muh dhikhane ke layak nahi bachega, isilye mujhe maarke ek aur ko le aata,  saale raandi ki aulaad, …” “kya bakwaas kar rahi hai tu, main kyun marne jaaonga…main toh sachi mein tere saath sambhogs karne aaya tha….” “abe chutiye toh goli kyun chalwayi ?...” “kaunsi goli.. main kyun goli chalwane jaaon?” “abe oye bhawde ki auulad jab main shakh ke wajah se iss kamrein mein aayi tab koi goli nahi chali aur jab main lal saari pehnke dobara iss kamrein mein ghusne gayi toh goli mere tarf hi chalayi gayi ….” Pure kamrein mein sanaata tha “ tera vansh aage nahi chalne dungi , yeh saari pehan aur bahar jaa” “nahi tu aise mat kar, main mara jaonga, maaf dede” “tu nikalta hai ya main maarun?”Thakur saari pehankar kamrein ke bahar nikalta hai… idhar Mohan ka nishana chuk jaane ke wajah se woh ek aur mauke ke khoj mein bhaitha tha.. laal saari waale ko phir se kamrein ke bahar aate dhekh kar usne iss baar goli chala di Thakur lal saari pehne wahin dher ho gaya.
Goli marte hi yeh Mohan ek van mein baitha “Chal chal saale nikal yahan se, kaam khatham, aage se left le le…” “Par aage se left mein gaadi nahi ghusegi, boss… Right chalte hain..” “Abe saale jab tere usmein yeh bandook ki nully ghusa dunga na, tab gaadi ek baar mein na toh right jayegi aur na toh ek bar mein left…ek baar mein right left jayegi”. Van ke driver ne gaadi ko ek chhoti si gali ke andar ghusa di.Tabhi van ka tyre ek municipalty ke paani ki pipe ke upar chad gaya aur woh phatgaya “Abe saale yeh kya kardiya…. pura paani ka phuwwara chalu kar diya ..” “Abe Mohan, bhag yahan se, yahan ruke toh phas gaye samajh….” Driver ne kaha. Mohan paask ek makaan ke andar chala gaya,…. 
Mohan ne kaha “toh main kya karta Thakur ne kaha tha lal saari mein job hi ho goli maar dena , ab itni dur se shakal thodai na dhikhai deta hain, maine goli maari aur bhaag gaya…par yeh sab tujhe kaise pata chala?” Rathiraaj ab tak charpai par bhaith gaya tha aur ek beedi jala lithi, “bhai Thakur ki biwi tumko thokne ke supaari humko diya hai, Thakur ka khaas aadmi tu hi hai yeh usse pata lagte hi usne sabse yeh kaha hi ki tu Thakur ko marwake sarkari gawah ban gaya hai aur sare kaale dhande ke baarein mein police ko bata diya hai, pata hai itni sayani hai ki khud gupt tarike se Thakur ke galat kaamo ke aadde mein police se raid karati hai aur phir logo se kahti hai ki Mohandas karwa raha hai, toh babua tu toh gayeo…. Woh apna badla lena chahata hai,  Idhar Thakur ke log tujhe marna chahte hain aur udhar saale ladkiyon ko synide khilake lootne ke maamle mein police tujhe dhoond rahi hai….” Phir Mohan ne kaha “abe ek bat bata…. kya Thakur ke logon ko nahi pata chal raha ki agar main sarkar ka gawah bana hun  toh phir police kyun mujhe hi dhund rahi hai, yeh unke dimaag mein nahi atak raha..?” “abe oye gaandu, Thakur ki dusri biwi ne yeh kaha hai ki tu phone karwata hai aur khud chupa hua hai, ab bata kaise logo ko pata chalega…?, beta bahaut daurwaya hai tune un logo ko do saal se, par pata hai tune ek galti ki” “kya” “ yeh jo tu auraton ko phaasta tha synide khilake unme se ek baad mein meri biwi bani hai, Chameli… naam toh suna hi hoga…” Mohan ghabra jata hai…  “beta tu ab teen jagah se phasa hai… tuje toh main maarunga, bhagwan ka ehsaan hai ki woh bach gayi, usne synide pura nigala nahi, kaafi mushkilo ke baad usski zindagi wapas hui hai , tujhe toh sahi mein che goliyon waalein bandook se aath goliyan maarni chaiye…” “ bhai maafi dede, tu job hi kahega wahi karunga, par marna nahi chahta main” 
Rathiraaj phir khada ho jata hai “tere dimaag mein yeh idea aaya kaise?” Mohan thoda muskurake  “ woh jab Thakur ki biwi matlab Thakur ko marker bhag raha tha toh koi pehchan na le toh ek ghar mein chup gaya, aur 
wahan ek aurat bathroom mein naha rahi thi “Arre yeh paani ko kya hua. Abhi poore badan mein saaboon bhi laga hua hai.Maa! O maa! Paani kyun band ho gaya? Ab main nahaungi kaise!” Kehte hue usne bathroom ka darwaza thoda sa khola.Idhar main apni bandook lekar issi ghar mein bathroom ke darwaze se satka hua tha. Jaise hi uss ladki ne darwaza khola, main bathroom ke andar zameen par…. Ladki ghabra gayi.Main ne  thoda muskurakar apne nazaro ko ladki ke jismpar dauraya. Ladki  apne dono haath se apne chathi ko sharam se chupa rakhe the, yeh dhekh kar main ne apni nazar us ladki ke jism ke neechle hisse pe tika ke kaha. “Aur do haath chahiye yeh chupane ke liye?” Ladki ne sharma ke nazarein neeche jhukha lee, apne dono pairon ko bebasi mein ek dusre ke upar masalne lagi. Tabhi apne maa ki aahate kamrein ki taraf aate sunn ladki ne ghabrake bathroom ka darwaza bandh kar liya…” Arre beti, woh bahar municipal ka pipe phatgaya hai. Kisi kambakht ne apni gaari uspar chadha dee hai. Tu ruk main balti mein paani lekar aati hun…” Idhar bathroom ke andar ab main  is ladki ko achi tarah nihar raha tha “Dekh ladki, shaadi karle mere saath ab toh tujhe pura dhekh hi liya hai, ab kya sharmana”. Tabhi mujhe mere  dusre saathi ne bahar se pukara. Yeh sunte hi main  ne bandook ladki ke gaal pe tika ke uske hothon ko kaske chuma, aur phone se ek tasweer kheench lee.. Aur jaise hi bathroom ki khidki ko pakad ke bahar kudne gaya, haath mein saboon hone ke karan bahar ki taraf gir gaya, 
tabhi ek akhbaar ke tukre par meri nazar gayi unmein do alag alag khabrein thi, dono khabrein  saath saath chappe hue the, jisse padte hi mere shareef dimaag ke taarein hil gaye” 
“kya the woh do khabrein” Rathiraj ne poocha, “ ek tha ‘sarkaar ne sone ki tarah fasal ko kaudiyon ke daam mein khareede’ ‘synide aur tezaab bina permission dukaan mein nahi bikenge’“ “ saala yeh sahi hai” yeh kahakar Ratiraaj zor zor se hasne laga par phir kaha “ par boss marna toh padega....  nahi toh main Thakur ki biwi ko kya bolun, mujhe toh tere dead body dhikhkana hai, bahaut rokda milega,  warna woh mera kokda kaat legi…” “yaar kisi tarah bachaa lo mujhe main saari galtiyan man ta hun, kuch toh upaye hoga,….” Ratiraaj bahaut sochta hai aur kehta hai “ tere paas paisa kitna hai, apne teen chauthai maal jo tune kamaya hai woh mujhe dede aur nikal jaa “ “teen chauthai , toh bahaut jyada hai thoda concession de bhai warna marna hi sahi hai…” “phir toh tu mar hi jaa” kehte hue Ratihiraaj lete hue Mohan ke seene par bandook taanta hai” itne din Mohan goli marte time maut ke peeche hote hue nahi samjha tha ki halath kaisi tight hoti hai  jab maut samne khadi hoti hai. “ Thik hai teen chauthai kamai meri ab se teri hui,  bata kaise bachayega mujhe ?” “tujhe ek laash ka intezaam karna padega aur phir uss laash ki shakal bigaad ke apna koi niji saman us laash ke saath rakhna padega taki laash ki shenaft hone par main na pakda jaaon “yeh toh bahut problematic hai.. kaise hoga, agar tu abhi mujhe chodega aur main agar bhaag jaon  toh……” “pata tha tu jaat hi ganda hai, isliye mera ek aadmi tere pe nazar tika ke rahega, tu tension mat le jaa abhi laash ka jugaar kar…”  
Agle din Mohan laash ke jugaar mein apne ek dost ke paas gaya, usne usse ek aadmi ka pata bataya jo ki lawaaris laashein jalata tha, Mohan ussi ke paas jaane ke liye Kakinaara ke raaste bidi haath mein liye hue  jaa raha tha, police ke dar se usne daari nahi banayi thi taki jitna ho sake kisi ko pehchaan mein na aaye, woh ek paan wale  ke paas  beedi sulgane ke liye ruka toh paan walein ne usse pehchan liya”abe  tu woh synide wala hai na, teri shakal akhbaar mein chapi thi kuch do mahine pehle?” Mohan ghabrakar paan katne ki choori lekar usse dhamkata hai aur bhag jata hai, paan waala dukaan se shor machata hai, paas khadi police ki gaadi se do police nikalke uska  peecha karte hain. 
Mohan kabhi kisi ke ghar ki chhath se chhalaang lagata, toh kabhi kisi ke balcony se. Ab haal aisa hua ki jis gully mein wo jaa ghusa,us gully ke dono taraf makaan the, aur makaan mein hoti hain khidkiyaan. Idhar ab bhi police upar chhat se Mohan par bandook taane nishana laga rahi thi. Kisi ke paas itna samay nahi tha ki usse pakadwane ke liye madad kare. Issi beech Mohan, gully mein kichad hone ke wajah se fisala.Apne aap ko bachane ke liye usne ek ghar ki khidki par haath mara, par asafalta hi haath lagi aur woh gir gaya. Idhar police ne iss arajakta mein bandook chala di. Jis khidki ke darwaze par Mohan  ne apne aap ko bachane ke liye haath maara tha us ghar mein ek aadmi aur ek aurat sambhog kar rahe the. Usne awaaz sunke khidki kholi aur tabhi police ki goli aakar uske sar pe aa lagi aur woh us aurat ke upar hi dher ho gaya. Aurat ki gori baahein khoon se lathpath ho gayin..
Mohan zameen se utha aur paas ke gali mein chup gaya, phir kareeb pandra minute baad woh jahan chupa hua tha wahan se nikal kar uss ghar mein gaya jahan woh aadmi goli ke karan mara gaya tha, itna kuch hone ke bawajood aas paas ke log so hue the, dophar ka samaye tha, bangali log aise mein bhi dophar ko khana kha  ke sona pasand karte hain, isliye abhi bhi hulchul wahan nahi thi, Mohan ki nazar us aurat ke nange badan par jaati hai jo goli ke awaaz se ghabrakar behosh ho gayi thi… uska badan aadmi ke khoon se latpat ho gayi thi, Mohan ne laash ko uthaya, paas pade aurat ki saari se sar pe lage khoon ko saaf kiya,  us par patti bhandhi aur ek borein mein bhandhke gasseete hue laash ko bahar nikal laya, log abhi bhi so rahe the, woh ek sunsaan jagah jakar laash ke shakal pathar se bigaad deta hai aur phir bore mein wapas  daal ke Rathiraaj ke ghar ke taraf rawana hota hai.
“Kya kar raha hai beta” Rathiraj Wadekar ne solah saal ke Madho se poocha “Nishana thik kar raha hun. Bada hokar main anna Wadekar Madho banunga” “Kai zaala…kaiko… …duniyaan mein aur bhi karne ko hai re baba…. kya karega….. sirf magajmaari hai issmein….. phir police ka lafda alag” “ kal saala naake par main jab vaijanti ko ice cream khila raha tha uski maa akar mereko peeche se chammaat maari sar par, aisa hota hai kya? Ice cream hi khila raha tha..kasmein nahi….aaj hi tapka daalta main us aurat ko par……” “Par kya ?” “mere paas bandook plastic ki thi na, isliye. Ek asli bandook lake dega na baapu”? “Haan, dunga laake,beta. Tujhe paida hi kiya hai iske liye…chal maa ko bol dopahar ka khana lagaye mujhe duty par jana hai…”Tabhi Madho ki maa ne chaarpai par khana rakha. Madho wahin bhaith kar roti ka ek tukda muh mein lekar phir apni bandook se nishana saadhne laga…“Maa kasam bapu, aisa nishana lagaunga ki che goli waalein pistol se aath goliyan marunga ekhi baar mein…..” Tabhi goli ki awaaz Rathiraaj ko sunai padi. Paas rakhe Madho ki thali mein rotiyaan laal hoti gayin. Jis aadmi ne goli chalayi thi woh dikhne mein hubabu Rathiraajke jaisa tha. Copy… paste.. duplicate bhi sharma jaye. 
“kya kar rahe ho puri tamaatar ki chatni ka katora charpai pe gira di… pura chadar aur saath mein Madho ki rotiyaan laal ho gayi.” Chameli gusse mein boli “ baapu kya kiya ab…. main roti kaise kahonga” “ tune goli ki awaaz nahi suni?” Rathiraaj ne halke se Madho ko marte hue kaha, Madho gusse mein plastic ki bandook apne baap ke taraf taan ke kaha “ baapu nahi sunayi di.. par dus saal baad zaroor sunayi degi saare illake mein, mere bandook se, jab main che goli waalein  bandook se aath goliyan maarunga” kehkar woh  phir se nishana saadhne laga, Rathiraaj phir sochne laga ki phir woh aadmi kaun tha jisne mujhe goli maari par mujhe laga nahi aur jiska shakal bhi hubabu mere jaise tha… ki tabhi barande ke gate ko Mohan khathkahta hai , Rathiraaj dhekta hai Mohan paseene mein chur laassh ki bori lekar khada hai “ boss intezaam ho gaya maine jo maal kamaya hai uska teen chauthai rupaye,zewaraat iss thaili mein hai aur laash is bori mein, ab mujhe chor do” kehkar woh nikalne wala tha ki tabhi Rathiraj poochta hai “acha ek baat bata tune itne kaand kiye hain tujhe kisi ne roka nahi aaj tak…?” “matlab” “matlab kisi ne… tere dost ne , tera koi ristedaar wagera….ki kyun kar raha hai…?” “nahi toh koi tha hi nahi” “zameer bhi nahi, andar se koi aatma types , ki kyun kar ra hai” “woh zameer, antar aatma chutiyon ke paas hota hai” “toh main chutiyaan,” kehkar Rathiraaj ne Mohan ko wahin goli maar di..” “haan Thakur ke biwi ko kehna Mohan ka laash bhijwa raha hun….